Wednesday 27 November 2013

Jeet-Haar

Kisi se kisko kya mila Ye kisi ko nahi pata,
JIwan ek khel hai ye sabko hai pata,
Khel me jitne harne me fark nahi,
Bina lagan ke khelne se, khelne ka fir koi mahatwa nahi.

Harne ke baad ka kambakht gam, chahe jitna bhi ho kam,
Lagta sada aisa jaise pinjde me pakshi band,
Jo soch raha harpal pinjde ko tod udne ke liye,
Par kya kare khada hai balshali pinjda kamjor ko harane ke liye,
JItne ki khushi sada lagti hai nyari,
Aakhir kyon na ho ye baar-baar thode hi na hai aati,

Jitne wala khushi se kahta "Wah Ye jeet hai humari"
Fir chahe wo ho Rathor Ya Saniya Dulari.

Jeet sada mili nahi, Yahi hai anokhi prakriti ka dastoor,
Harne ke baad to Tata-Birla bhi ban jaye majdoor,
Jeet-Haar ka ye romanch apne me bada jabardast hai,
WTC ke visfot par Laden Baba Apni jeet me bada mast hai,
Jitne aur sirf jeetne ki tamanna liye,
Hum badh to rahen hai apne lakshya ki aor,
Par kisi ko kahan pata, Ki kahan hai jeet ka antim chor.

JIwan ke mahatwakanshi khel me, haar-jeet sada hoti hai,
Haar ke gam se jada jeet ki khushi hoti hai,
To badhao apne kadam jo jeet ke liye faldayak bane,
Har haar se lo siksha jo jeet me sahayak bane,
Aakhir isi mantra ko apnaate hue, "Hitler" mahaan nayak bane.

Monday 25 November 2013

Developer Aur Coding Ka Sath

Coding ki ye duniya hai nirali,
Kabhi isne Developer ki wah wahi hai karai, To Kabhi jaan hi hai nikali,
Project Requirements aur timelines ke tahat, Coding karna aniwarya hai,
Kahin chook gaye jara sa, To reviewer kid ant panda reevaj hai.

Code likhne se execution tak developer apne karmon me laga rahta hai,
Yahi to wo daur hai jab Developer Jawan hota hai,
Har ek requirement ki gahrai naap, use code me hai badalta,
Aur puri shiddat se us code pe apna pyar hai nyochawar karta.

Developer ki rawani uske code likhne ke dhang se pata chalti hai,
Coding Guidelines ka sath Developers ko jiwan bhar nibhani hai,
Coding Guidelines ki maryada, Checklists dwara hai sambhali jati,
Kahin phir bhi chook ho jaye to Code Reviews me izzat hai bacha li jati.

Developer ki duniya badi jaddo-jahat ki misaal hai,
Application ko paida karne se lekar suraksha dene tak ka developer ka kaam hai,
Application ke sath Developer ka ek anokha rishta hai jid jata,
Isiliye use bachane ke khatir wo kabhi kabhi Testers se hai lad jata.

Testers ka application ke sath berukhi dikhana, Developer ko raas nahi aata,
Tester application ko nikhar raha hai, Bhawnaon me bahkar Developer hai ye bhool jata,
Itihaas gawah hai, Isi application ke pyar me kitne Developers ne apne Appraisal gawaye hai,
Application ko apna samajh, usne kaiyon se ladte hue, Appraisal me behavioural issues ke comment paye hain.

Lakin Coding aur Developer ka aatma-sarir jaisa sambandh hai,
Coding ke bina Developer, Aur Devloper ke bina Coding ka nahi koi astitwa hai,
Dua Hai Is Rishte ko kisi kin ajar na lage,
Imandaari se Developer kare Coding aur unhi samaj kalyaan me Naye-Naye Applications Bante rahen !!!

Friday 22 November 2013

Ae Khushi

Ret ki jarurat registaan ko hoti hai,
Sitaron ki jarurat har aasmaan ko hoti hai,
Ae dukhon se ghire khusiyon ke bhawar,
Tu kahin hume bhool na jana,
Aakhir khusiyon ki jarurat har insaan ko hoti hai.

Tere intezaar me aaj ye aalam hai,
Ki mai khud ko hi na pahchaan pa raha,
Tujhe pane ki aas me,
JIwan ke daldal me fasta ja raha,
Tu har kisi ko deti hai panaah,
Fir mere ghar ke baahar se kyoun gujar jati hai,
Mujh par bhi jata apna astitwa,
Waise bhi fana hone ki baari tumhaari hai.

Tere swagat ke liye mai kiwaad khole baitha huin,
Jite ji hi milja mujhse kyouki tujhe khone ke gum se darta huin,
Pane se pahle hi khone ka dar,
Yahi soch tu hasti hogi hogi mujhpe,
Jald dastak de mere jiwan me, Teri aas me aahen bharta huin,
Agar tujhe ab bhi lagta huin mai ajnabi,
To le sun mere dil ki fariyaad.

Gila tujhse nahi koi mujhe ae khushi,
Gila hum apni majburiyon se karte hain,
Tu aaj hamare karib na sahi,
Mohabbat hum tumhari duriyon se karte hain!!!

Chinta Aur Chita

Aaj tak mai chinta aur chita ka fark samajh na paya,
Is Kambakht besamjhi ne hai, bahut mujhe jhulsaya,
Sochne ki shakti lekar mujhe sochne par majboor kiya,
Is chote se bindu ne mera chaino-aman cheen liya.

Kya chinta use kahun jo logon ko hai satati,
Dukhon ka pahaad lekar baar-baar hai aati,
Ya chinta use kahun jo karti hai sabko hairaan,
Tufaan si aakar machati gharon me kohraam.

Jisme doobkar insaan khud ko hi hai bhool jata,
Bas usi ka hokar koi galat kadam hai utha jata,
Isi bhishan antar ne hai mujhe bahut tadpaya,
Anant baar sochne par bhi mujhe antar samajh na aaya.

Isi antar ko samajhne ke liye,
maine apni samasya pitaji se kah dali,
Unhone iska hal kuch is tarah se nikala -
Bole - Beta ! Chinta aur chita do alag sabd hain,
Matlab to chodo dono ko likhne me bhi fark hai,
Kewal bindu alag nahi karti chinta ko chita se,
Samjhata huin tujhe udaharanon ke baan se,
Chita to jalati mare ko ek baar hai,
Jiwiton ke samaksh chintaon ka pahaad hai,
Chinta rah-rah kar marti hai jiwit manushya ko,
Kisi ko na bakshti Ye Na-Tujhko Na Mujhko,
Chita moksha prapti ke liye wardaan hai,
Chinta anjaane kahar ke aane ka ailaan hai.

Pitaji ki baaten sun samajh aaya mujhe ye adbhut antar,
Aap sabhi ko deta huin Rahul ka mantar,
Jiyo har ghadi khushi se, kyonki hame gamon ko hai peetna,
Chinta na karo doston, Kyonki Chita par sabhi ko hai letna!!!

Thursday 21 November 2013

Insaani Chehra

Sishe se chehre ki ranginiyat bhale samajh aa jaye,
Par chehre ke haao-bhao samajhna mushkil hai,
Insaan ke charitra ko bhale hi samajh jao,
Magar insaan ke man ko bhapna mushkil hai.

Insaan ke antar man ki gatha sab se hain pare,
Kaun janta hai kiske man me kaun se murde hai gaden,
Insaan ka swarth uske charitra ko hai badalta,
Koi rahta adig to koi apne swarth anusaar hai dhalta.

Na jane kab ye insan itna matlabi ho gaya,
Insaan hokar insaan se hi bair kar gaya,
Jiske sath rahkar usne apni jindagi thi gujarni,
Usi insaan se ladkar kah gaya – Ki Yaad dilaunga tujhe teri Nani!!!

Insaani chehra bhi ab insaan ke bas me na raha,
Dil me bhara hai klesh aur chehra muskurahat dikha raha,
Chehre pe vishwas kar kaion ne kai dhokhe khai hain,
Insanon ne hi insaniyat pe tamaam julm dhaye hain.

Ek aisa hi chehra mera dil bhi tod gaya,
Chehre ne sakshiyat dikhai dusri, dil kambhakht uska daga de gaya,
Halaton ko dhal bana wo akela chod gaye hume,
Hum unke chehre ki masumiyat me dube rahe aur wo beech majhdaar chod gaye hume.

Chehre ki isi asamanjasta ko samajhna hai jaruri,
Warna insano ko bura karne aur sochne ki choot hai puri,
Par insaan agar insaan se hi satik rishta nibha jata,
Sahi mayno me is jag ka naksha badal jata.

Wednesday 20 November 2013

Soni Pari

Jindagi ki daud me akela chala nahi jata,
Kisi ka sath hume raas nahi aata,
Tanhayion aur kashishon me mai ji raha huin akela,
Shaam dhalti ja rahi thi, badh raha tha ghan-ghor andhera,
Andhere me khud ko pahchaan na pa raha tha,
Takdeer ko koste hue bas ji tajar aha tha.

Laga Mano – Zindagi Me Mulakaat hui ek soni pari se,
Kuch kahne se pahle kuch kiya usne apni anokhi chadi se,
Kuch samajhta ya kuch kah pata Isse pahle wo adrushya ho gayi,
Haal-Behaal kar mera sochne par majboor kar gayi.

Kya usse jud sakta tha mera koi naata?
Kya Uski duniya me mujhe koi apnata?
Iska jawaab tha mere liye asamanjas,
Khwaabon me uske hokar mai barbas,
Bas sochta aur sochta chala gaya,
Takdeer ko koste hue bas jita chala gaya.

Tabhi piche se kisi ne mujhe jagaaya,
Mujhe meri anokhi neend se uthaaya,
Bola kambakht! Tu din me leta hai sapne,
Tera bhala hoga Gangu! Kuch kaam hi kar le.

Mai jut to gaya apne karm ko karne ko,
Par kaise bhula duin us anokhe sapne ko,
Us din se roj bageeche me baithta huin, Ki sayad koi kali fool me khil jaye,

Jane-Anjane me mujhe bhi koi Soni –Pari mil jaye!!!

Rajniti

Jiska ho raaj chalti usi ki niti hai,
Padhe likho ke liye yahi to Rajniti hai,
Rajniti ke bhawar ne kiya  desh ko barbaad hai,
Pragati na ho desh ki isiliye netaon ko kiya aabad hai,
Netaon ne bhi sirf apni marji chalaai hai,
Atyacharon ko badhawa dekar pragati par viraam lagai hai.

Neta chune humse hai jate taki pura dosh unka na ho jaye,
Har chunao ke baad kahte chalo milbaat ke sarkaar chalayen,
Sarkaar ka kya hai har paanch saal baad hai badalti,
Agar tik na paai panch saal to kam se kam janta ko hai lut ti,
Netaon ne diye janta ko bade-bade aaswasan hain,
Desh ko bech kar apne bangle banwate hain.

He Prabhu! Wo din lade jab sabhi neta ho imaandaar,
Desh ke vikas ke liye sabhi ho wafadaar,
Jo jiyen to sirf desh ke liye kuch karne ke dum se,
Chati chodi kar puche “Kaun sa Desh Aage hai humse?”

Tabhi desh ki pragati me netaon ki bhumika bhi aham hogi,
Tabhi neta banne ki khwais fir se logon ke dil me aayegi,
Rajniti ki nayi chawi is desh ki pragati me kranti layegi,
Fir ye bharat purana bharat na rah jayega,

Balki “Mera Bharat Mahaan” Se “Hamara Bharat Mahaan” ban jayega.

Fariyaad

Mujhe hasta dekh sabhi jalte hain,
Manaw to door Ishwar tak muh fher lete hain,
Bas malaal is baat ka raha ki thodi takdeer mujhe bhi di hoti,
To aaj mere chehre par bhi asli hansi hoti.

Hans to raha huin duniya ko dikhane ke liye,
Asliyat to ye hai ki hansta huin gamon ko chupane ke liye,
Kya kabhi khuda mujh par bhi meharbaan hoga?
Hindu huin kya mujhe wo khudai bakshega?
Nirash hokar bas yahi socha karta huin,
JIwan diya hai to jine ka salook sikha de,
Warna bahut ji chukka apne paas hi bula le.

Parantu karmon ko yaad kar jine ki tamanna hoti hai,
Khusiyon ko dekhne ke liye kuch kar gujarne ki icha hoti hai,
Chitiyon ne bhi haraya hai parwaton ko apne gadhbandhan se,
Safalta pana chahta huin, apne karmon ke bandhan se.

Nikal to pada huin mai apne lakshya ki aoor,
Chahe samne ho kathinayion ke badal ghan-ghor,
Kathinayion se dagmagana maine nahi hai sikha,
Mere samne is rangin duniya ko bhi panda hoga fika,
In sab ki purti ke liye,
Ae Prabhu! Tujhe bhi mera har mod par saath dena hoga,

Warna tujpar vishwas rakhne wala ek na hoga!!!

Saturday 9 November 2013

Pathak Mitra

Anjaano se bahri is duniya me mai khoj raha tha na jaane kisko,
Mujhe kya pata tha ki namumkin hai khojna usko,
Fir bhi pagalon ki tarah mai bhatak raha tha,
Ek dost ke roop me kisi ko talaash raha tha.

Par kya pura ho sakta tha mera ye sapna,
Kya mujhe bhi koi mil sakta tha anokha sa apna,
Jo hanse mere sath meri khusiyon ko bant ne ke liye,
Mai rou uske sath uske gamon ko kam karne ke liye,
Par sayad khuda ko meri fariyaad pasand nahi aai,
Tabhi to aaj tak kisi se meri dosti nahi karai.

Dost ki talaash me mai ghar se nikal to pada tha,
Par dhoke baajon se bhari is duniya me dost banana mushkil tha,
Kuch bane to wo bhi dhoka de kar chale gaye,
Mujhe akela chod pachtane ke liye baksh gaye,
Dosti me ladka-ladki ka bhed nahi hota,
Jo tumhe dhoka de, wo kabhi dost nahi hota.

Kash mujhe bhi koi dost mil jata, Jo mujhe sada ke liy apnaata,
Jo kathinayiyon se mujhe ubaar, mera margdarshan kar jaata,
Mujhe pata hai padh kar mere dukhon ko aap maje le rahe ho,
Kam se kam aap to mujh nadaan se dosti kar sakte ho,
Aapko hansta dekh mujhe dosti ka aihsaas ho gaya,
Meri bhawnaon ko samajhne wala, mujhe antahta mil gaya.

Kal Ho Na Ho

Jiwan kya hai, jine ka salook ya mitne ke baad ka wajood,
Aksar hum jeete hain, kabhi apne kabhi gairob ke khushi ke liye,
Hum jiyen to jiyen kiske liye,
Humare to apne bhi gair ho liye.

Suna tha jindagi jine ka naam hai,
Sayad prakruti ka anokha vardaan hai,
Haalaton ne kiya hume vanchit is vardaan se,
Kyounki hume na jine na marne ka andaaj hai.

Nikle the ghar se kuch kar dikhane ko,
Apne farjon ke karj ko chukane ko,
Chukta nahi karj kabhi ek baar le lene se,
Yahi seekh mili hume is jaalim jamane se.

Yahan apna koi nahi sath ,ilkar rone ko,
Duniya khadi hai doston aaj tumpar hasne ko,
Apne lakshyon ki taraf hume khud hi badhna hoga,
Nirasha bhale hi ho har taraf hume hans ke mukarna hoga,
Jo rah gaya is majhdhaar me wo fir kabhi nikal nahi payega,
Marte dum tak bas apne bhagya ko kosta chala jayega.

Himmat se bhedo takat se lado,
Shram aur mehnat ko sada apni kunji rakho,
Jeetna koi mushkil nahi, JItne ki tamanna ho,
Jo karna hai aaj karo, kya pata kal ho na ho.

Waqt

Waqt na tha-h-ra tha, waqt na tha-h-rega,
Jiwan ki is daud me, na jane kisi kya hasil hoga.

Hum sab badh to rahe hain apne-apne lakshya ki aor,
Par kise pata hai kahan hai antim chor,
har ghadi hum apne liye karte hai socha,
Nirasha ke palon me har kisi ne hai apne ashruon ko pocha,
Fir kyoun tha-h-rate hain hum dusron ko doshi,
Jab apne acche waqt ki izzat humi ne hai luti.

Chan taron ki taarif sabhi kiya karte hain,
Par ye chand aur taren hai, Inka gyan pata na hume kaun dete hain,
Par jis kisi ne bhi hume ye chand-tare dikhayen hain,
Usne apni is khoj me awashya lakhon warsh bitayen hai,
Agar na ki hoti un logon ne waqt ki izzat,
To hume kahan pata tha ki chand-taron ko sawarti hai kudrat,
Warna hum to uun hi chand-taron ki taraf dekha karte,
Sath hi apna kimti waqt jaya karte.

Waqt ko simtakar hume uske sath chalna hoga,
Kathinayian chahe ho apaar hame kadam badhate rahna hoga,
Kyounki badhte kadmon se hi tay hoti hai duriyan,
Waqt gujarne ke baad hoti hai sabki apni-apni majburiyaan.

Sainik

Himalay ki bulandi se ek aawaj di sunai,
Kahon mataon se de bete aur kaho bahno se de bhai,
Aaj desh ki baagdor yuwaon ke hath hai,
Ekjut hokar dikhayen ki hum sab sath hain.

Sarhad pe sainikon ka jajba kabile-tarif hai,
Desh ke prati unka samarpan sarwopari hai,
Aao unke balidaan ka hum karen samman,
Apne desh ko sabhi chetron me banaye sarv-saktimaan.

Sainikon ne sada diya desh ko mahatwa hai,
Phir bhale hi unhe bhulna pada ho apne pariwaar ke prati kartawya hai,
Sainikon ne apni maon ki god me kahi lori nahi suni,
Par bharat maa ki ek bhi lori nahi ki unhone ansuni.

Sainik apni bahan se rakhi bandhwana bhale hi hai taal jata,
Desh ki raksha me kahin bhi kasar nahi chodta,
Sarhad par jaan ki baaji laga wo sada rahta hai tainaat,
Phir chahe use kai mahinon tak na mile apni patni se karne ko baat.

Gurutwa-Karshan

College ko wo hasin galiyan aaj bhi prerit kar jati hain,
Jab wo mere pahle pyar ki kahaniyan mujhe sunati hain,

College me us hasina ka mujhse takrana,
Fir HOD ke room, uska wo hasin andaaj me puchna,

Mai to us din hi tha us par dil apna haar gaya,
Aur collge me tha pahla din isiliye apni bhawnaon ko maar gaya.

Agle din wo practical class me thi mili,
Laga mano uski muskurahat ke samne haar gayi ho kadakti hui bijli,

Uske labon pe jab mera naam aaya,
Mai practical pe phir kahan dhyan de paya.

Sishak ne padhaya gurutwakarshan,
Mai to bas sambhale tha apna uske prati aakarshan,

Newton ki theory pe kahan tha dhyan de pa raha,
Bas use pane ki icha man ko satane lagi,
Wo mujhe us practical ka successful output najar aane lagi.

Ajnabi

Ajnabi se mila to wo pal mulaqaat kahlai,
Na Jane Kab Wo ajnabi mere dil me samai,
Aaj uski sansem meri dhadkano ko poshit karti hain,
Kal tak to thi wo ajnabi par aaj kuch apni si lagti hai.

Pyar me mujhe tha hi nahi vishwas fir bhi yakin kar baitha,
JIs ajnabi ko janta tak nahi usi se hi dil de baitha,
Par mukaddar ke sikhar par bhi sikandar hain hara karte,
Aashiqi gawah hai ki isme kai hain jeete aur kai hain mera karte.

Samaj mohabbat ke sada raha kilaaf hai,
Yahan pyar ko chodkar, sabhi galtiyan maaf hai,
par fir bhi aashiq sirf pyar ke liye hai jamane se lad jata,
Aur apna sab kuch bas ajnabi ke liye hai gawata.

Par dil ko sabse jyada dilruba ki berukhi hai dukhati,
Jab dil karta hai uspe vishwas aur wo vishwas ghat hai kar jati,
Fir ek baar aashiq pyar bachane ki khatir jhuk bhi hai jata,
Par tab dilrubaon ko ruthe aashiq ko manane bhi nahi aata.

Friday 8 November 2013

Teri Julfon Ka Kahar

Apni julfon ko mere chehre par yun na bikhero,
Apni maasumiyat ko tum yun na chodo,
Apni katil nigahon se mujhe yun na dekho,
Kahin tumhare pyar me mai kaayal na ho jaun,
Tumhare bhai ke hathon kahin ghayal na ho jaun.

Tumhari julfon ke ghanepan se gahra tha, tere bhai ke mukke ka ehsaas,
JIsne karwaya mera teen baar bai-paas,
Aspataal ka chakkar laga-laga mai bahut thak chukka tha,
Kya karta tujhe chahne ki bhool jo kar chukka tha.

Pagalpan ki haden mai paar karta ja raha tha,
Tujhe pane ki chah me zindagi se ladta ja raha tha,
Jaan se marne ki dhamki, tera bhai mujhe de chukka tha,
Darta nahi huin mai tere jaan dene se,
Par kaise jhelegi akelapan, Jo paida hoga mere marne se,

Isiliye aaj bhi mai apni aashiqi par vishwas karta huin,
Teri yaad me aspataal me apni antim saanse ginta huin.

Tu fikra na kart ere liye mai pure samaaj se lad sakta huin,
Anekon baar tere bhai ki maar sah sakta huin,
Tere ishq me aaj ye aalam hai, Ki mai khud bhi na pahchaan pa raha,
Pure badan pe Iodex aur malham malta ja raha,

Teri chahat se hamare pyar-numa rishte ka pata chalta hai,
To kya hua, agar mere sarir me agar 206 ke badle kewal 6 haddiyon ka pata chalta hai,
Aaj bhi mera dil tere liye 1 minute me 72 baar dhadakta hai.

Wednesday 6 November 2013

Shadi-Barbadi

Pyar me do dilon ka bandhan hai jaruri,
Samaj ki hay na lag jaye, Isiliye vivah karna hai majboori,
Shadi se pahle acchi grihasti ke sapne khoob dikhaye jate hain,
Baad me to sirf kambakht dil dukhaye jate hain,
Khair ho gayi shadi, ab ji raha huin dampatti ki zindagi,
Bibi ko khush rakhna warna sahni padegi bandagi.

Dulhan ne ghar me prawesh karte hi machaya kautuhal,
Na “Ee Ji”, “Na Swami”, Sidhe kaha Rahul…
Pahle mai bhauchakka hua fir bola “Ji maharani aata huin”,
Socha kyoun ki shadi ab pachtata huin,

Bola prabhu! Galti ho gai, kuch to rah dikhao!!!
Aakashwani hui – Gadhe!!! Mai kya karun, jab shaitaan ko khud hi ho ghar laye!!!

Tabhi piche se aawaj aai, mujhe meri nani yaad aai,
“Rahul ! Jara bazaar se sabji le kar aana”,
“Ye kya bartan dhule nahi ab tak, saaf karo warna nahi milega khana!!!”
Bartan dhote-dhote mai akela karah raha tha,
Koi aur kya kare jab bibi ko maine khud hi sar pe chada rakha tha.

Din par din, meri halat badtar hoti ja rahi thi,
Pyar ke is khel ne chini mujhse meri aajadi thi,
Bibi achi ho to bigda ghar bhi sawar jata hai,
Warna rah-rah kar minton me bhawar aata hai.

Jiwan ka ye eham faisla doston – bahut soch samjh kar lena,
Kahi galti ho gayi to padega kambakht jiwan bhar sahna!!!!

Tuesday 5 November 2013

Takdir-e-Mohabbat

Takdir se tab hame hissa milta hai,
Pyar bhara koi jab rishta milta hai,
Roshan ho jati hai sari zindagi,
Jab rishton me aap jaisa farishta milta hai.

Aapki kashish hamare rishte ko jaan hai bakshti,
Ye na samajhey ki hami aapki hai, hamare liye sasti,
Hum to aaj bhi wo pal bhula nahi pate,
Aur sach me tut jate, agar aap hamari zindagi me na aate.

Khuda ki rahmat aapki mohabbat se hai,
Apnepan ki aas aapki chahat se hai,
Kahte hai jahan isqk karta hai basera, waha khuda milta hai,
Aur pyar agar saccha ho to, Makka-Madina aapka ghar hi hota hai.

Aasmaan me parindon ki chahak suni hogi,
Badal ke garjan ke baad, warsha ki bund mahsus ki hogi,
Ye Jiwan khuda ka nayaab angina hai,
Agar na ki kisi se mohabbat, To takdir-e-Insaan bhi suni hogi.

Mohabbat har kisi ke bhagya ka haq nahi,
Aashiq banna har kisi ke bas me nahi,
Jabardsati se kisi ko pana kayarta ki pahchaan hai,
Kisi ko mohabbat-e-Ishq me apna banana, Hi asli shaan hai.

Mai to khuda ka nadaan banda, Mohabbat ki guhai karta huin,
Jiwan hai ek to ek mohabbat-e-Ishq ki guhai karta huin,
Nibha sako to kisi ek se jarur pyar karna,
Sayad wahi chan ho jab tumhe khuda ki rahmat ho milna.

Friday 1 November 2013

Happy Diwali 2013

Diwali Ki Shaan Diyon Ki Chamank Se Hoti Hai,
Diwali Ki Pahchaan Jiwan me Aai Khusiyon Se Hoti Hai,
Diwali To Acchai Ki Burai Pe Jeet Ka Jashn Hai,
Ye Sare Gile Sikwe Mita Ek Dusre Se Ghulne-Milne Ka Parv Hai.

Diyon Ki Chamak Aapke Jiwan Me Bhi Khusiyon Ko Prajwalit Kare,
Dushmano Ko Aapke Apse Mitrata Karne Ki SadhBuddhi Bakshe,
Jiwan Me Aapke Harsh Aur Ullas Ka Ho Aagman,
Khusiyan Itni Ho Apke Aangan Me Ki Tik Nahi Paye Ek Bhi Gum.

Mithayion Se Mithi Aapki Namra Charitrata Ho,
Patakhon Se Kadak Apki Vikhyati Ka Prachar Ho,
Desh Ki Bhalai Me Agrasar Apki nayi Soch Ho,
Aur In Sab Ke Beech Unnati Ki Rah Me Aapki Sari Koshishe Sakar Ho.

Ghar Me Lakshmi Ka Aagman Aapke Yash Ko Badhaye,
Purani Cheejo Ko Aapke Ghar Se OLX Wale le Kar Jaye,
Nayi Khusiyon Ke Sath Aap Naye Saal  Me Nayi Bulandiyon Pe Jaye,
Jiwan Ki Daud Me Aap Nayi Duriyon Ko Mapte Jaye.

Dua Hai Ye Diwali Aapke Aur Aapke Pariwar Ko Khushiyon Ke Lehar me Gote Lagwaye,
Apko Mitrata Ki Ek Nayi Parikashta Tak Pahuchayen,
Ye Dua Meri Dil Se Hai Nikli Isiliye Rab Ke Dwar Tak Jarur Pahuchegi,
Aap Ke Sare Armaano Ko Ye Diwali Jarur Puri Karegi!!!

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...