Friday 26 October 2012

DharmPatni Se Bhali Maut

Mere Antim Din Jine Ki Aaj Hui BhavishyaVani,
Aisa Laga Mujhe Jaise Sun Raha Huin Mai Koi Kahani,
Laga Mano Ye Koi Mera Darawna Swapn Ho,
Nind To Tab Khuli Jab Yamraj Khud Aaakar Bole - Beta Jai Ho!!!

Chalo Tumhara Jiwan Aaj Yahin Samapt Hua,
Moh Maya Me Fas Kar Har Insaan Yaha Hai Barbaad Hua,
Pata Nahi Kyoun Insaano Ko Lagta Hai Maut Se Dar,
Jante Hai Maut Sabko Aani Hai Fhir Bhi Is Baat Se Jate Hai Sab Bikhar.

Tabhi Meri Dharmpatni Ji Waha Khushi-Khushi Aa Dhamki,
Boli Yamraj Ji Ki Jai Ho - Prabhu Icha Puri Karo Mere Man Ki,
Le Jao Mere Pati Ko Kyoki Ab Inhe Jhela Nahi Jata,
Aur Ye Sada Rahte Hai Ghar Me Isiliye Kisi Aur Se Rishta Joda Nahi Jata.

Maine Bola Dharmpatni Ji Kyupya Meri Ek Request Man Lijiye Just,
Yaad Dila Duin Aap Hi Sada Kahti Hai - Ladies First!!!
Aap Bhi Aaj Apna Sati-t-a-twya Dikhyaen,
Hame Bachane Ke Liye Apne Pran Yamraj Ko Saup Jayen.

Par Hamari Is Baat Pe Dharmpatni Ji Ka Muh Utarna Lajmi Tha,
Apni Jaan Pe Ban Aayi Isiliye Unka Dukhi Hona Lajmi Tha,
Par Hum Bhi Maut Ki Sachai Se Begaane Nahi The,
Dukh To Bas Is Baat Ka Tha Ki Hamre Sabse Karib Bhi Hamare Apne Nahi The.

Hamari Maut Hamari Dharmpatni Ko Thi Khushi De Rahi,
Jaydad Ke Sath Hamari Jaan Ki Khwaish Rakhi - Yahi Baat Thi Hame Tatol Rahi,
Khair Aaj Tak Ham Prayasrat Rahe Taki Dharmpatni Ji Ko Khushi Milti Rahe,
Khushi Unki Sarwopari Hai Hamare Liye Phir Chahe Hum Rahe Ya Na Rahe.

Monday 22 October 2012

Meri Mohabbat Ne Kiya Mujhe Barbaad

Wo Shaam Bhi Kuch Khaas Thi,
Jab Bagal Ki Seat Pe Meri Mohabaat Mere Sath Thi,
Usne Mujhe Dekha, Aur Mujhe Khud Me Sama Liya,
Usko Dekhne Ke Chakkar Me Class Se Mujhe Bahar Nikal Diya.

Mai Apne School Ke Dino Se Hi Mohabbat Ko Dene Laga Tawajju,
Kisi Se Kar Sakun Sachi Mohabbat Bas Itni Si Thi Aarju,
Par Apni Barbadi Ko Mai Khud Hi Nimantran Tha De Raha,
Pyar Ke Bhawar Me Tha Khud Ko Mai Dhakel Raha.

Us Ladki Ne Mujhe Apni Chanchalta Dikhai,
Class Ke Beech Usne Apni Dayi Aankh Ghumayi,
Mai To Uske Aankh Marne Ke Andaaj Me Hi Kho Gaya,
Kambhakht Class 9th Me Fail Hone Se Just Bach Gaya.

Bachi-Khuchi Kasar Usne Class 10th Me Liya Nikal,
Examination Hall Me Usne Dikhaya Apni Khoobsurati Ka Bawal,
Pen Mang Kar Mano Wo Mera Dil Hi Le Gayi,
Usko Dekhte Rahne Ke Liye Wo Majboor Kar Gayi,
Dhyan To Tab Tuta Jab Akhiri Ghante Ki Ghanti Baji,
Aur Ek Baar Phir Meri Lagne Se Bachi.

Ab Haale Bharahwi Ki Dastaan Mai Sunau Kaise,
Paas Hua Huin Mai Use Dekhte Hue Jaise Taise,
Ma-Baap Ka Engineer Banane Ka Sapna Rah Gaya Adhoora,
Kyoki Uske Pyar Mai Nahi Kar Paya Koi Bhi Kaam Pura.

Log Use Maal Kah Kah Kar Sambhodit Karte Rahe,
Mere Pyar Ko Sare Bajaar Me Nilam Karte Rahe,
Par Dil To Tab Tuta Jab Mai Pura Barbaad Ho Gaya,
Jab Uska Aangan Kisi Aur Ke Bachon Se Bhar Gaya.

Mai To Bas Apni Judai Ko Hi Mohabbat Samajh Baitha,
Sare Sapno Ko Bas Uske Kadamon Tale Rundhwa Baitha,
Aaj Mujhe Bas Itni Baat Samajh Aati Hai,
Zindagi Me Mohabbat Se Badi Nahi Koi Barbaadi Hai.
 

Thursday 18 October 2012

Gharwali Aur Baharwali

Meri Gharwali Aur Baharwali Ki Pat-ti Nahi,
Dono Ki Aapas Me Bilkul Bhi Banti Nahi,
Kaise Karau Sulah Dono Me Samajh Nahi Aata,
Aur Dono Ke Pyar Ke Bina Mai Rah Nahi Pata.

Gharwali Ki Chik-Chick, Baharwali Ke Paas Hai Dhakelti,
Baharwali Ki Khoobsurati Bada Hai Aakarshit Karti,
Par Gharwali Jitna Pyar Kahin Aur Se Nahi Milta,
Baharwali Ko Shopping Ke Alawa Kuch Nahi Dikhta.

Gharwali Mere Bachon Ko Hai Sambhalti,
Baharwali Mere Bachon Ke Fixed Deposit Tudwakar Shopping Hai Jati,
Par Kambhakht Mai Dono Se Alag Nahi Rah Pata,
Sahi Jante Hue Bhi Apne Ko Rok Nahi Pata.

Insaniyat Ke Jharokhon Me Mai Machal Raha Huin,
Isiliye Aaj Aapke Samne Apni Gatha Suna Raha Huin,
Gharwali Meri Shadi Ka Farmaan Hai,
Aur Baharwali Ke Aihsaano Ka Bahut Balidaan Hai.

Mere Accident Ke Paschat Usne Hi Mujhe Bachaya Tha,
Meri Biwi Ke Paas Mujhe Sahi Salamat Pahunchaya Tha,
Sara Ilaaz Usne Khud Ke Kharche Pe Utha Liya,
Mujhe Dawa Aur Duwaon Se Maut ke Muh Se Bacha Liya.

Uski Shraddha Ne Mujhe Uska Kayal Bana Diya,
Tabhahi To Tab Machi Jab Usne Aihsaan Ke Badle Mujhe Mang Liya,
Meri Gharwali Se Milane Me Wo Badi Sahayak Bani,
Aur Isi Aihsaan Ke Badle Wo Meri Bahaewali Bani.

Tuesday 16 October 2012

Meri Premika

Dosti Se Upar Wo Pyar Ki Pujari Thi,
Mere Liye Mar Mitne Ko Wo Hamesha Betaab Hi Pai Jati Thi,
Mujhe Apna Sab Kuch Maan Kar Na Jane Kab HumRaaz ban Gayi,
Mujhe Bina Bataye Hi Mera Na Jane Kab Dil Le Gayi.

Asko Ke Baad Maine Use Pahchana Tha,
Wo Sirf Hai Meri Use Bas Itna Hi Jatana Tha,
Mujhe Pyar Karte Karte Wo Khud Ko Hi Bhool Gayi,
Apne Sabhi Dukhon Ko Bhoolakar Wo Mujhme Bas Sama Gayi.

Duniya Ki Nigahon Me Usne Kai Julm Jhele,
Katach Baton Ke Na Jane Usne Kitne Pal Udhele,
Wo Khud Ko Gulab Bana Paigam-e-Mohabaat Bana Gayi,
Duniya Ki Chodo Wo Mujhse Bhi Apne Sare Gum Chupa Gayi.

Uski Preet Ka Aihsaas Mujhe To Tab Hua,
Jab Akhiri Baar Usne Mujhe Alwida Kahte Hue Gale Laga Liya,
Maine Uski Majar Par Ashroo Bahate Hue Pucha,
Are Bewkoof, Tune Karti Thi Mujhse Pyar, To Kabhi Kyon Nahi Toka.

Mai To Us Se Pyar Ka Izhaar Na Kar Paya,
Use Dost ke Rup Me Kahin Kho Na Duin Isiliye Kuch Kah Bhi Nahi Paya,
Agar Usne Jhalak Dikhla Di Hoti Uske Pyar Ki,
To Aaj Pyar Banti Sobha Uske Is Majar Ki.

Uska Blood Cancer Use Mujhse Chin Ke Le Gaya,
Mujhe Uske Mrut Sarir Se Mohabat Kara Gaya,
Ab Uski Aatma Se Pyar Kar Mai Apna Farj Nibhaunga,
Aatma Amar Hoti Hai Isiliye Apne Pyar Ko Amar Kar Jaunga.

Monday 15 October 2012

Ye Shaam Kuch Khas Hai

Aaj Ki Shaam Na Jane Kyon Mujhe Hai Kuch Kah Rahi,
Jine Ke Ek Naye Salike Ko Mujhse Hai Jod Rahi,
Ye Hara Bhara Mausam Mere Dil Ke taron Ko Hai Tatol Raha,
Mujhe Khud Me Kho Jane Ko hai Majboor Kar Raha.

Aaj Ye Shaam Mere Doston Ka Wajood Hai,
Mere Akelepan Ko Door Karne Ka Gurur Hai,
Mai To Rah Hi Jata Unhi Tanha Akela,
Agar Ye Shaam Na Lati Mere Jiwan Me Dosti Bhara Mela.

Dosti Ke Aagosh Me Mera Man Hai Machal Raha,
Har Ek Dost Ko Aaj Sukriya Kahne Ko Dil hai Kah Raha,
Mai To Sukragujar Huin Apne Doston Ki Mahfil Ka,
Jinhone Nahi Ubharne Diya Diya haal Mere Dard-e-Dil Ka.

Doston Ke Pyar Se Pyari, Is Duniya Me Koi reet Nahi,
Dosti Na Ho Jiske Pass Uske Jiwan Me Koi Preet Nahi,
Aksar Hum Sab Kuch Luta Jane Par Hi Sambhala Hai Karte,
Par Dosti Me Nahi Lutaya Sab Kuch To Doston Dosti Ke Mayne Pata Nahi Chalte.

To Aao Aaj Ki Shaam Ko Sakhshi Maan Kar Le Hum Pratigya,
Dosti Ki Hum Na Karenge Aur Na Hone Denge Awagya,
Dosti Me Hum Sab Milkar Ek Naya Parcham Lahrayenge,
Jo Jee raha Ho Tanha Akela Uske Dost Hum Khud Ban Khade Ho Jayenge.

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...