Sunday 23 June 2013

Pyar Ek Adhoorapan

Ye pyar ki rawani bhi hai badi nirali,
Jisne mere jiwan me puri uthal-puthal hai maccha dali,
Uun to pyar bade hi khoobsurat anubhawon ka praman hai,
Par khusnasib nahi huin mai sayad kyonki meri kismat hi beimaan hai.

Ek jharokhe ki tarah wo ladki mere jiwan me aai thi,
Pahli hi najar me mere dil me samai thi,
Uski muskurahat dekh mai bhi muskura baitha tha,
Uspe jaan chidakne ka faisla mai pahli hi najar me kar baitha tha.

Par sayad khudi ko kuch aur hi manjoor tha,
Agle hi din pata chala ki wo hai shadi-shuda aur kanunan uska ek pati tha,
Apne najar ki chahat ko mai aankh band kar andhkaar me duba gaya,
Par dil me jo jagah pai thi usne use dil se nikalne me asamarth rah gaya.

Aane wale palon me mai usko aur chahta chala gaya,
Ek acche dost ka rishta nibhata hua apne pyar ko marta chala gaya,
Kuch din bite, kuch mahine aur phir bete kuch saal,
Par achanak ek din mere dil me mach gaya bada sawaal.

Mai kahin-na-kahin apne dost ke dard ko bhap tha raha,
Uska chehra, uska man na kuch kahte hue bhi mujhse bahut kuch tha kah raha,
Na jane kyoun wo sirf mere sath hi khush najar aati thi,
Aur mere jate hi na jane kyoun - dard me dubati hui mujhe najar aati thi.

Ab aage badh mujhe apni dosti ka farj nibhana tha,
Uske man me chupe beintahaan dard ko mujhe door bhagana tha,
Maine usse karibi badhai aur pyar se dil pe uske dastak padai,
Bas uske dil pe meri dastak ka aagaj tha,
Aur uska dil to pahle se hi rone ko taiyaar tha.

Hale dil jab bayan kiya usne to dukhon ke samundar me wo sama gayi,
Ghar tha, pati tha, lakin bichari patni ke wajood ke liye karah gayi,
Pati ne diye sare Aisho aaram par sirf pyar dene se mukar gaya,
Patni ko sirf apni jaruratmand wastu samajhne ki bhool wo kar gaya.

Pati ko uske pyar pe vishwas na tha,
Patni ke liye sabse jaruri pyar hota hai Iski samajh uske pati ko na tha,
Par in sab ke beech meri dost jhulas thi rahi,
Kai baar divorce dene ki dhamkiyan wo apne pati se thi sun rahi.

Apne dost ke dard ko kar mahsus mai bhi bhawuk ho gaya,
Sada rakhunga use khush ye faisla mai kar gaya,
Usko dukhon me pyar ki kami ko mai hansi-majak se door karta huin,
Kisi se kahta nahi par use sacche dil se mai pyar karta huin.

Chahat to hai ki uske jiwan pe pura mera adhikaar ho jaye,
Mera pyar uske jiwan ke har dukh bhare pal ko khushi me badal jaye,
Par samaj me aise rishton ki neev manjoor nahi hoti,
Sayad isiliye pyar me laila-majnoo ke milan ki reet nahi hoti.

Mera meri dost par pyar lutana sayad uske pati ko gawara na jaye,
Wo rakhe apni patni ko ek wastu ki tarah,
Par sayad mere pyar ke sath wo apni patni ko swikar na kar paye,
Isi asamanjas me mai har din apne pyar ka gala ghot diya karta huin,
Lakin fir meri dost ko kaun karega pyar,
Yahi sawal mai aaj ke anubhawi samaj se karta huin.

Mujhe pata hai mere paksh me aaj mere sath koi na hoga,
Har koi yahi kahega -
Ki wo uski patni hai fir use wo patni ki tarah rakhe ya wastu ki tarah -
Ye faisla sirf uske pati ka hi hoga,
Sayad aise samaj ke vicharon ko dekh mai aksar kahta huin,

Pyar kabhi Pura Nahi Hota,
Aur Jo Pura Ho Jaye Wo Kabhi Pyar Nahi Hota.

Thursday 13 June 2013

Sacche Deshwasi Ki Aawaj

Aaj sabhi yahan desh ki khushali ki baat karte hain,
Desh ko viksit deshon ki shreni me pahunchane ka sapna dekhte hai,
Magar bhule baithe hai sab ki patton ke sadne ki wajah tahniya nahi hoti,
Hamesha patton ke sadne ki wajah ped ki jadon ka ku-poshan hota hai.

Agar amir yahan aur amir ho bhi gaya, To kya badal jayega,
Agar rank yahan raja ho bhi gaya, To kya badal jayega,
Mool jiwan jine ki aawasaqyata hai anaaj,
Agar wahi anaaj paida karne wala Kisaan bhooka rah jayega, To yahan sab bigad jayega.

Aaj jarurat hai desh ko nichle warg se majboot karne ki,
Amiron ki charbi ko kam, Aur garibon ke under maans bharne ki,
Kyoki dono surat me hi desh bimar sa lagta hai,
Charbi badhne se Blood-Pressure aur Diabetes,
To wahin maans na hone se insaan mal-nutrition ka sikar hota hai.

Bharat desh ka adhar anaaj paida karta kisaan hai,
Jiski mehnat se banta hamara desh mahaan hai,
Ashaksharta, Agyanta yaha ban rahi abhisaap hai,
Fir kaise kah sakte hai hum ki hamare desh ki growth rate badi fast hai.

Hume desh ki tarakki ke liye sabka pet bharna hoga,
Jo nahi padh pa rahe kinhi wajhon se, unhe gyan se jodna hoga,
Gaon-gaon Gali-gali me agar dekhni hai khushali,
To puri imandari se har bhartiye ko puri karni hogi apni-apni zimmedari.

Netaon ko jhute wade karna chodna hoga,
Paison ki kala-bazari ko band karna hoga,
Sasan-prasan se corruption ko jad se mitana hoga,
Insaanon ko apni-apni insaniyat ko jatana hoga.

Nari ko dena hoga samman,
Aathit-t-ya karna hoga hoga unka jo aaye hai hamare desh ban kar mehmaan,
Desh ki tarakki me bada yogdaan dega vigyan,
Naye prayog, nayi soch aur Nayi vichar dharayen, badhayengi desh ki shaan.

Ek aajad bharat ka sapna hume phir se dekhna hoga,
Corruption, Beimani, swarth ki bhawnaon se upar uthkar hum sab ko sochna hoga,
Desh ki khushali ke liye deshwasion ki khushali ka intezaam karna hoga,
Har sarkar ko apne Pradesh ki tarakki dikha udaharan sthapit karna hoga.

Desh ki unnati ka sapna tabhi sakar hoga,
Tab kisi ke liye bhi jawano aur neta me bhed karna mushkil hoga,
Desh ki betiyon ko apne desh me khule aam ghumne ki aajadi hogi,
Tab kahin jakar Bharat ki Viksit deshon me ginti hogi.

To aao sacche Bharat wasi hone ke khatir, Aaj hum ye le pran,
Puri karenge apni desh ke prati zimmedari lagakar pura man,
Hamare uthe naye kadmon se aao mil kar desh ko unchaiyon ki sair karayen,
Bharat warsh ki garima ko badhakar, aao hum apni  desh-bhakti ka parcham failayen.

Wednesday 12 June 2013

Pyar - Ek Anokha Khel

Tere husn ke didar ne kiya tha mujhe ghayal,
Tu khoobsurat ho ke bhi sambhale thi sadgi, Isi baat ne kiya tha mujhe kayal,
Tere labon pe sajti muskurahat ne mujhe apna banaya tha,
Tu na kuch kah ke bhi samajhti thi mujhe,
Isi baat ne mujhe tere pyar me pagal banaya tha.

Yu to tere layak mai khud ko kahan tha manta,
Nahi mil sakti tu mujhe kabhi ye baat mai sada se tha janta,
Teri chahat ko to mai apne liye vardaan samjhe baitha tha,
Tu ho jaye meri bas rab se yahi dua karta tha.

Sayad kahin meri dua tere dil pe dastak de gayi,
Pahli hi najar me tu na jane kaise mere dil me utar gayi,
Teri khushi me mujhe apna jahan najar aaya,
Tujhse ho chukka hai mujhe pyar kambhakt ye bhi samajh nahi paaya.

Ab tak mai bhi kahan karta tha pyar pe vishwas,
Teri khilkhilati hansi ne dilaya mujhe pyar karne ki aas,
Isiliye bina kuch soche mai tujhe propose kar baitha,
Jane anjane apne vicharon ko tod-madod baitha.

Tu mil jaye mujhe isi aas me tujhe khush rakhna meri chahat thi,
Tu kabhi na rahe dukhi bas itni si meri waqalat thi,
Tere gamon ko mai apni kavitaon se dene laga khushi,
Sayad isiliye tu lagti mujhe kabhi kudi Punjabi,
kabhi Japani, to kabhi Rusi.

Par in sab ke beech mai ye bhool baitha kit tu to kisi aur ki amanat hai,
Kitna bhi cha lu  tujhe par tu to kisi aur ki najakat hai,
Tere pe haq to kisi aur ne pahle se jata rakha hai,
Par kya karta tere pyar ne jo mujhe pagal bana rakha hai.

Suna hai saccha pyar sada ibadat banker rahta hai,
Jism aur jaan  alag ho sakte hai par pyar dil ka rishta hota hai,
Isi sacche pyar me kurbani ka farmaan bhi hai farmaya gaya,
Sayad abhi aur ache karm karne hai
Isiliye tujhe is janm me mujhse door karaya gaya.

Par dil se nikli dua aur saccha pyar palat kar jarur aate hai,
Tu jahan bhi rahe jis ke bhi sath rahe, mer adil teri khushkismati ki kamna karwata hai,
Ho sake to mujhe mere sacche pyar ke liye maaf karna,
Bas gujarish hai itni si,
Jab bhi milna mujhse bas apne hoton pe muskurahat barkarar rakhna.



Saturday 8 June 2013

Barsaat Se Pyar

Ye barsaat ka mausam kuch khas hai,
Bhiga-Bhiga sa kuch aihsaas hai,
Yu to ye tan ko bhiga maje leti hai,
Par jane-anjaane me mann ko chu leti hai.

Barsaat me wo pani aur sarir ka milan,
Galon ko chumti hui wo bunde aur phir unka patan,
Mano kuch sandesh sa dekar wo ja rahi,
Kahti ho jaise tumhe to chum liya maine, ab bari tumhari.

Ganghor barish ke beech wo bhigta tan,
Jante hue ki pad sakte hai bimar, par nahi manta mann,
Kisi mashuka si barsaat dil me sama jati hai,
Mano apne jadu se aapko kich ke bulati hai.

Khamosh raho me wo bijli ka kadakna,
Bijli ki aawaj sun wo apka sadak par hi thirakna,
Uske baad barish ki pahli bunda ka aapko sparsk karna,
Aapko aap se hi na jane kab chura le jana.

Sayad isiliye is mausam me aashiqi apne ufaan pe hoti hai,
Jab mausam hi kare aapse pyar, to aape under bhi pyar jatane ki umag paida hoti hai,
Khusnasib log apni mashukaon ko is naye mijaj ka luft hai de jate,
Aur hum akele log, kavita ke madhyam se khusnasibon ko mubarakbaad hai de jate.

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...