Monday 11 February 2013

Happy Valentines Day 2013

Uski Muskurahat Ko Dekha To Mohabbat Ka Paigaam Mil Gaya,
Uske Labon Pe Jo Aaya Mera Naam, To Aashiqon Me Bhi Mera Naam Ho Gaya,
Usne Dil Se Chaha Mujhko To Mujhe Bhi Pyar Ka Farmaan Mil Gaya,
Usne Kaha Wo Hai Meera, To Mai Uska Ghan-Shyam Ho Gaya.

Usne Meri Aankon Me Dekha Is Kadar,
Jaise Machana Chahti Ho Wo Koi Gadar,
Uski Aankon Ki Gahraai Mujhe Samundar Se Jyada Lagi,
Uski Aankon Ka Wo Kaajal, Mujhe Chandra Ki Parichayak Lagi.

Uske Hothon Ka Wo Gulaabi Aakarshan,
De Raha Tha Mujhe Moh-Maya Me Padne Ka Parshikshan,
Uske Labon Ki Wo Matwaali Sarsarahat,
Na Jane Jaise De Rahi Ho Mere Dil Pe Aashiqi Ki Aahat.

Uske Chehre Ka Wo Nashila Jaam,
Mano Bana Raha Ho Use Gulbadan Aur Mujhe GulFaam,
Uski Khubsurati Ke Samaksh Mai Sab Kuch Bhool Gaya,
Uske Pyar Roopi Bhawar Mai Khud Ko Hi Bhool Gaya.

Hakikate Byan To Tab Hui, Jab Valentine Day Aa Gaya,
Har Mashuka Ko Apni Mehbooba Ko Kuch Dete Hue Paya,
Vishwas To Tan Tuta Jab Apni Soch Ko Maine Apna Sapna Paya,
Dukh Is Baat Ka Hua Ki Mai Ek Sacchi Pyar Karne Wali Ko Khoj Naa Paya.

Suna Hai Log Aksar Pyar Me Dhoka De Jate Hai,
Koi Humse Bhi Pyar Kare Fir Hum Batayen Pyar kaise Nibhate Hai,
Pyar Par Vishwas Rakh, Humne Apne Sapne Ko Kagaj Par Utaar Diya,
Is Valentine Ke Awsar Par, Humne Har Pyar Ke Jode Ko Dil Se Dua Diya.

Pyar Aur Aashiqi Apne Shikhar Par Pahunche,
Is Dharti Par Aashiqi Ko Mile Sammanit Darje,
Mahilaon Aur Ladkiyon Ka Dil Se Samman Ho,
Har Valentine Ko Apne Valentine Ki Khusiyon Ka Aagaaj Ho.!!!!

Managers Aur Management

Managers Ne Hi Sada Projects Ka Beda Paar Hai Lagaya,
Kisi Manager Ne Paai Wah-Wahi, To Kisi Ne Project Ko Hi Hai Dubaaya,
Management Ki Bhasha, Sirf Kitabon Se Byan Nahi Ki Jati,
Uski Safalta Ke Liye, Vicharon Ki Gambhirta Hi Hai Mapi Jati.

Management Uuon To Viprit Paristithiyon Me Sakaratmak Soch Ka Paropkaar Hai,
Sakaratmakon Ko Protsahan Aur Nirakaramatkon Par Upkaar Hai,
Management Me Sahi Chintan Aur Manan Ka Samawesh Hai,
Sanyukt Roop Se Vikaron Ka Hanan Hai.

Managers Ki Bhoomika Sahi Management Ka Aadhar Hai,
Management Ho Aniyantrit to Manager Bekaar Hai,
Matlabiyon Ka Management Me Me Nahi Koi Sthan Hai,
Manager To Project Ke Liye Tandoori Ke Sath Naan Hai.

Managers Ko Apni Bhoomika Par Parishram Karna Hoga,
Project Ko Ubharne Ke Liye Excellent Performance Dena Hoga,
Jo Bhi MangaerApne Karmon Se Picha Hat-ta Jayega,
Wo Nischit Taur Par Project Aur Or Organization Ki Waat Laga Jayega.

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...