Monday 28 January 2013

Veer Sainik

Himalay Ki Bulandi Se Ek Aawaj Di Sunai,
Kaho Maaon Ko De Bete Aur Kahon Bahno Ko De Bhai,
Aaj Desh Ki Baagdor Yuwaon Ke Hath Hai,
Aao Ekjut Hokar Dikhayen Ki Hum Sab Ek Sath Hai.

Sarhad Pe Sainikon Ka Jajba Kabil-e-Tarif Hai,
Desh Ke Prati Unka Samarpan Sarwopari Hai,
Aao Unke Balidaan Ka Hum Karen Samman,
Apne Desh Ko Sabhi Chetron Me Hum Sab Milkar Banaye Sarva-Saktimaan.

Sainikon Ne Sada Diya Desh ko Mahatwa Hai,
Fir Bhale Hi Unhe Bhoolna pada Ho Apne Pariwar Ke Prati Kartawya Hai,
Sainiko Ne Apni Maaon Ki God Me Kabhi Lori Nahi Suni,
Par Bharat Maa Ki Ek Bhi Lori Nahi Ki Ansuni.

Sainik Bhale Hi Apni Bahan Ki Rakhi Ko Hai Bhoola Jata,
Par desh ki Raksha me Kahi Bhi Kasar Nahi Chodta,
Sarhad Par Jaan Ki Baji Laga, Wo Sada Rahta Hai tainaat,
Fir Chahe Use Kai Mahino Tak Na Mile Apni Patni Se Karne Ko Baat.

Sainik Ki Sahadat Ki Dastan Hai Badi Nirali,
Wardi Ki Maryada Ki Khatir Bhale Pad Jaye Apni Jaan Gawani,
Desh Aur Tirange Se Upar Uska Koi Bhagwaan Nahi Hota,
Isiliye Sayad Marne Ke Baad Bhi Sainik Amar Hai Hota.

Aaj Hum Khush hai kyoki Sarhad Par Sainik Apna Gum Chupaye Hai,
Sare Risht-e-Nate Ko Bhoolakar Wo Dushmano Ko Loha Manwaye Hai,
Aisa Nahi Ki Sainikon Ki Nahi Hoti Jawani,
Par Sab Kuch Bhoola Sainik Deta Hai Desh Ke Liye Kurbaani!!!

Topper Ki Mashuka

College Ki Wo Hasin Galiyan Aaj Bhi Prerit Kar Jati HAin,
Jab Wo Mere Pahle Pyar Ki Kahaniyan Mujhe Sunati Hain,
College Me Us Hasina Ka Mujhse Takrana,
Fir HOD Ke Room Ki Uska Wo Hasin Andaaj Me Puchna,
Mai To Us Din Hi Us Par Dil Haar Gaya,
Aur College Me Tha Pahla Din Isiliye Apni Bhawnaon Ko Maar Gaya.

Agle Din Wo Practical Class Me Thi Mili,
Laga Mano Uski Muskurahat Ke Samne Hari Ho Bijli,
Uske Labon Pe Jab Mera Naam Aaya,
Mai Practical Me Phir Kahan Dhyan De Paya.

Shishak Ne Padhaya Gurutwakarshan, 
Mai To Sambhale Tha Bas Apna Aakarshan,
Uska Sundar Roop Mujhe Kuch IS Kadar Aaakarshit Tha Kar Raha,
Newton Ki Theory Pe Kahan Tha Dhyan De Pa Raha,
Bas Use Pane Ki Icha Man Ko Satane Lagi,
Wo Mujhe Us Practical Ki Successful Result Ke Roop Me Dikhai Padne Lagi.

Hamare Nain-Mattake Me College Bell Ne Kiya Paida Avrodh,
Ja Chuki Hai Wo Practical Class Se, tan Hua Mujhe Is Baat ka Bodh.
Par Haar Na Mante Hue MAine Apni Bahaduri Ka PArichay Diya,
Isse Pahle Ki Baji Koi Aur Mare, Fat Se Ja Use Propose Kiya.

Mera Proposal Sun Wo Thoda Sharmai,
Pahle Muskurai Aur fir Khoob Lajai,
Boli Aap Se Pahli Mulaqaat Me Hi Mai Maan Gayi Thi,
Aapki Kushal Prawirti Pe To Mai Pahle Hi Haar Gayi Thi.

Wo To Intezaar Tha Ki Kab Aap Aakar Mujhko Apna Banate Ho,
Bhari Canteen Me pure College Ke Samne Apna proposal Sunate Ho,
Mai Ladki Huin Aur Ladkiyon Ki Mahima Pe Hi Thi Kayam,
Jab tak Ladka Propose Na Kare Nahi Banate Hum Unhe Apna HumDum.

Aap Ke Sath Maine Khud Ko Bada Khushnasib Mahsus Kiya,
Suna Board Exams Me Apne Hi Tha Top Kiya,
Aap Ki Saralta Hi Mere Aakarshan Ka Kendra Hai,
Aur Topper Ki Mashuka Banane Ka Maja Hi Kuch Aur Hai.

Sunday 27 January 2013

Desh Prem

Mere Desh Pe Koi Kar Nahi Sakta Aahat,
Kyoki Mere Desh Ka Naaam Hai Bharat,
Yahan Viron Ki Gadhayen Sunai Jati Hai,
Desh Par Mar Mitne Ke Jajbaten Dikhlai Jati Hai.

Ab Yuva Pidhi Desh Ko Sambhalne Ko Taiyaar Hai,
Ab Koi Bhi Yahan Nahi Kar Sakta Atyachaar Hai,
Janta Janardan Ka Jagna Desh Ki Ab Pehchaan Hai,
Aur Ab Har Koi Yahan Garv Se Hai Jeeta, Kyoki Is Desh Ka Naam Hindustan Hai.

Desh Pe Mar Mitne Ka Jajba Har Koi Apne Dil Me Pale Hai,
Bhale Katinayion Ke Ghire Badal Bahut Kale Hai,
Par Ab Deshwasion Ki Akhandta Uar Ekta Apne Sikhar Pe Hogi,
Jo BHi Humse Takraega Uski Halat Bahut Kharaab Hogi.

Hamare Desh Ne Har Chetra Me Apna Parcham Lahraya Hai,
Baki Sabke Sath Kandhe Se Kandha Milakar, Aur Jarurat Padne Par Aage Nikal Bhi Dikhaya Hai.
Ab Desh Ko Aur Majboot Karne Ke Liye Anduruni Dimakon Se Nijad Karana Hoga,
Corruption Ko Apne Niv Se Todkar, Is Desh Ko Sarwopari Banana Hoga.

Aaj Desh Ke Saput Dusre Deshon Ki Kamyaabi Ki Sej Hai Rach Rahe,
Apne Desh Ko Na Jane Kyoun Wo Andheka Hai Kar Rahe,
Mat Bhoolo - Har Koi YAhi Se Sona Lejakar Aaj Apne Desh Ko Hai Chamka Raha,
Are Bharatwasion Jara Piche Mud Kar Ke Dekho Tumhara Desh Tumhe Bula Raha.

Sab Kuch Jhel Kar Bhi Ye Desh Aaj Apni Garima Banae Hai,
Akela Jujh Raha Hai Par Nahi Li Kisi Garib Ki Hai Hai,
Agar Sabhi Deshwasi Aaj Ekjuta Aur Desh Ke Vikash Ka Prana Le,
Aur Jo Desh Chod Chale Gaye, Wo Bhi Bharat Ke Prati Kuch Pran Le,
To Is Bharat-Warsh Jaisa Khush-haal Desh Duja Koi Na Kahlayega,
Aur Jo Bharat Ki Dharti Pe Janmega, Wo Khushi Aur Garv Se Desh Ke Liye Mar Jayega.

Thursday 24 January 2013

Mera Desh - Meri Mashuka

Uske Naino Me Maine Khud Ke Liye Pyar Dekha Hai,
Uske Dil Me Maine Apne Liye Pyar Beshumaar Dekha Hai,
Uski Khushi Hai Ki Mai Bas Uska Ho Kar Rah Jaun,
Uske Sapno Se Nikalkar Mai Haqiqat Me Uska Aashiq Ban Jaun.

Usko Pyar Karna Meri Chahat Hai,
Lakin Apne Pyar Ka Izhaar Na Karna, Meri Sararat Hai,
Uski Aankhon Me Khud Ki Chawi Ko Dekhta Huin,
Karta Huin Usse Pyar Lakin Kahne Se Darta Huin.

Pyar Se Jada Uski Khushi Mere Liye Mahattwa Rakhti Hai,
Aur Wo Bhi Mere Bin Kahan Rah Sakti Hai,
Ye To Hum Dono Ki Himmat Ki Pariksha Hai,
Dekhna Hai Dono Me Pahle Pyar Ka Izhaar Kaun Karta Hai.

Uske Dil Me Mai Apni Jagah Uski Marji Se Huin Pana Chahta,
Aur Mai Pahle Kaise Bol Duin, Uski Marji Bhi To Mai Nahi Janta,
Uski Aankhon Me Maine Apne Liye Pyar Dekha Hai,
Lakin Ye Kaise Manu Ki Jo Maine Dekha Wahi Saccha Hai.

Isi Asamnjas Me Pade Mai Aanhe Bharta Huin,
Uski Khushi Ke Liye Usse Mohabbat Karta Huin,
Par Meri Mashuka Ko Kai Jalim Nazron Se Bachana Hai,
Aap Koi Galatfahmi Na Rakhna, Mera Desh Bharat Meri Mashuka Hai - Ye Sabko Batana Hai.

Tuesday 15 January 2013

Ajnabi Ka Dokha

Ajnabi Se Mila To Wo Pal Mulaqaat Kahlai,
Na Jane Kab Wo Ajnabi, Mere Dil Me Samai,
Aaj Uski Sanse Meri Dhadkano Ko Poshit Karti Hai,
Kal Tak To Thi Wo Ajnabi, Aaj Na Jane Kyon Apni Si Lagti Hai.

Pyar Me Mujhe Tha Hi Nahi Yakin, Fir Bhi Kar Baitha,
Jis Ajnabi Ko Janta Tak Nahi, Use Hi Tha Apna Dil De Baitha,
Par Mukaddar Ke Sikhar Par Bhi, Sikandar Hai Hara Karte,
Aashiqi Gawah Hai Ki Isme Kai Hai Jite Aur Kai Hain Hara Karte.

Samaj Mohabbat Ke Sada Raha Khilaaf Hai,
Yahan Pyar Ko Chodkar Sabhi Galtiyan Maaf Hai,
Par Fir Bhi Aashiq Sirf Pyar Ke Liye Jamane Se Hai Lad Jata,
Aur Apna Sab Kuch Bas Us Ek Ajnabi Ke Liye Hai Gawan Jata.

Par Dil Ko Sabse Jada Dilruba Ki Berukhi Hai Satati,
Jab Dil Karta Hai Uspe Vishwas Aur Wo Vishwas Ghat Hai Kar Jati,
Fir Ek Bar Aashiq, Pyar Bachane Ki Khatir Jhuk Bhi Hai Jata,
Par Tab Dilrubaron Ko Ruthe Aashiq Ko Manane Bhi Hai Nahi Aata.

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...