Thursday 28 March 2013

Premika Sang Meri Pahli Holi

Kal Meri Premika Sang Thi Meri Pahli Holi,
Par Mere Aantrik Man Yudh Me Chal Rahi Thi Anekon Goli,
Mai Apni Premika Ko rangon Se Sarabore Karne Ko Taiyaar Tha,
Par Kaun Sa Rang Kharidun Uske Liye Isi Baat Se Mai Preshan Tha.

Uske Chehre Ki Gorai Par Kahan Tha Koi Rang Chadne Wala,
Jo Bhi Rang MaltaMai Uske Galon Par Wo Uski Gorai Ke Samne Tha Fika Pad Jane Wala,
Uske Hothon Ki Gulabi Mere Laal Rang Ko Kar Rahi Thi Fika,
Aur Gori Premika Ke Liye Hota Hai Mushkil Rang Kharidna - Ye Maina Tha Sikha.

Premika Ke Naino Ka Kajal Mere Kale Rang Se Jyada Prabhawshali Tha,
Uski Muskurahat Ki Sadgi Ke Samaksh Mera Swet Rang Bhi Khali Tha,
Premika Ka Wo Itrana Charon Taraf Hariyali Faila Gaya,
Aur Kya Malta Mai Uspe Hara Rang - Jo Lagne Se Pahle Hi Apni Haar Maan Gaya.

Apne Rangon Ko Harte Dekh Mai Padne Laga Nila,
Muje Nila Dekh, Fika Pad Gaya Mera Rang Pila,
Par Mai Bhi Kahan Aashiqi Me Harne Ko Taiyaar Tha,
Premika Sang Khelni Thi Holi Is Baat Se Mai Mukarne Ko Na Taiyaar Tha.

Maine Sare Rangon Ko Fek, Premika Ko Bahon Me Kas Liya,
Uski Aankhon Ki Gahrai Me Maine Khud Ko Duba Diya,
Uski Nanon Ke Aagosh Me Gote Laga Maine Kiya Use propose,
Chumte Hue Use Maine Bhet Kar Diya Apna Pyar Rupi Rose.

Mere Pyar Ko Kar Mahsus Wo Machal Uthi,
Mere Sang Apne Pahli Holi Par Na Jane Kyon Wo Bhawuk Ho Uthi,
Boli Sach Kahte Hain Ki Holi Rangon Ka Tyohaar Hai,
Jisme Rangon Ke Jariye Karte Pyar Ke Aadan-Pradan Ka Vyawhaar Hain.

Uski Bhawukta Ke Swar Mujhe Sukh Ki Anubhooti Karwa Gaye,
Pyar Ke Ranginiyat Ka Arth Muje Samjha Gaye,
Isiliye Mai Aaj Sabse Pyar Ko Badhawa Dene Ko Kahta Huin,
Aur Holi Ko Pyar Ke Rangon Se Khelne Ki Salah Deta Huin.

Flight Ka Safar

Wo Safar Bada Khaas Tha Jisme Bada Anokha Aagaj Tha,
Ek Madhur Dhwani Me Flight Ke Take-off Ka Saaj Tha,
Meri Aankhen Khuli Rah Gayi, Madhur Dhwani Ke Pratakshya Rupanntran Ko DekhKar,
Jab Us Prakriti Ki Khoobsurat Rachan Ne Kaha - May I help you Sir!

Us Mulakaat Ne Mano Prakriti Ki Utkrushta Rachna Se Mera roobru Karwa Diya,
May I Help you Sir Ke Badle Mere mukh Se I Love You Nikalwa Diya,
Ye Baat Sun Wo Air Hostess Muskai,
Vinamra Bhaw Se Usne Mujhe Mere Swapn Ki Pardarshita Dikhai,
Par mai to Uski Sundarta Par Mantra-Mugdha Ho Chuka Tha,
Bagal Me Baithi Thi Ek Khoobsurat Ladki, Par Na Dekh Use Mai Uske tiraskaar Kar Raha Tha.

Bagal Me Baithi Ladki Ne mujhe Gusse Se Dekh - Vichitra Mukh Banaya,
Hairani To Tab Hui Jab Usne Pucha - Us Air Hostess Me AIsa Kya Hai Jo Tumhe Mujh Me Najar Nahi Aaya,
Mai Bhi Khoobsurati Ki Ek Shaandar Misal HUin,
Air Hostess Agar Tope Hai To Mai Puri Missile Huin.

Maine Apne Flight Sah-Upbhogta Ki Jalan Ko Turant Bhampa,
Isse Pahle Ki Wo tut Jaye, Maine Uske Man Se Nikal Rahi Tarangon Ko Napa,
Maine Kaha - Maine To Bas Air Hostess Ki Sundarta Ko Parkha Hai,
Aap bhi Mas-ha-alla Khoobsurat Hai - Is Baat Ka Shaq Maine Apne Dil Me Kahan Rakha Hai.

Aapme Aur Air Hostess Me Fark Thoda Hi Vidyamaan Hai,
I Love You Sun Kar Bhi Air Hostess Muskai Thi,
Aur Aapne To Hi Sun Kar Hi Apni Naak Chadhai thi,
Agar Aap Apni Khoobsurati Ko Sacche Dil Se Karen Agar Kisi Ko Samarpit,
To Ant-a-tah Wo Aapka Saccha Aashiq Ban Jayega,
Hi To Maine Isiliye Bola Tha - Ki Sayad Ye Mauka Mujhe Mil Jayega.

Thodi Lajjai Wo Boli Ladki Thode Hi Na Pyar-e-Izhaar Ki Suruyaat Karti Hai,
Ladkiyan To Aksar Ladkon Ke Proposal Me Bas hami Bhara Karti Hain,
Bhale Tumne Apna Pyara Proposal Kisi Aur Ko Bhet Kar Diya,
Par Anjaane Me Tumne Mera Dil Jeet Liya.

Kisi Ne Mujhe Jana

Askon Ke Baad Kisi Ne Mujhe Jana,
Na Jane Kyon Par Dil Se Usne Mujhe Apna Mana,
Uske Chahne Ka Dhang Bada Hi Khaas Tha,
Sayad Isiliye Mai Bina Kisi Wajah Uske Paas Tha.

Mujhe Dekh Wo Mand-Mand Muskati Thi,
Palat Kar Agar Use Dekhun to Bade Pyar Se Sarmati Thi,
Uski Chanchalta Uski Sadgi Ki Parichayak Thi,
Sayad Isiliye Wo Pyar Rupi Wahan Ki chalak Thi.

Usne Hamesha Mujhe Khush Dekhna Chaha,
Aur Kahti Hai Use Mila Aashiq Manchaha,
Par Mai To Sada Uski Khushi Ki Hi Kamna Kiya Karta Huin,
Sayad Isiliye Usse Mai itna Pyar Karta HUin.

Dil Me Pyar Liye Wo Umangon Se Bhari Thi,
Mere Jiwan Me Ujala Karne ke Liye Wo Khud Bani fuljhadi Thi,
Apni Parwah Na Karte Hue Bhi Usne Khud Ko Jala Liya,
Sayad Isiliye Usne Pure Tan-Man-Dhan Se Mujhe Chura Liya.

Akelapan

Zindagi Meri Mujhe tanhai Se Ghere Khadi Thi,
Kahin Mai Ghabra Na Jaun Sayad Isiliye Sanse Bhi Thami Thi,
Aagoshe Aarju Kuch Kar Gujarne Ko Taiyaar Thi,
Par Kismat Thi Ki Badalne Ko Na Taiyaar Thi.

Akelepan Ke Ghere Me Anjaan Rishton Ke Bharose Me,
Insaniyat Ki Haar Me Apni Saksiyat Ki Pahchan Me,
Kahin Gum Ho Gaya Tha Khud Ko Hi Pahchanne Me,
Sayad Yahi Wajah Thi Mere Rishton Ki Pahchaan Me.

Maine Khud Ko Har Kisi Ka Dost Mana,
Jisne Nibhai Dushmani Usko Bhi Dost Hi Jana,
Socha Sayad Achhai Meri Insaniyat Me Nayi Kranti Laye,
Jo Aaj Ek Dusre Ke Khoon Ke Pyase Hai, Wo Bhi Bhai-Chare Ka Matlab Samajh Jaye.

Par Fal Bhi Pakne Ke Baad Kahan Pedon Ko Mahatwa Dete Hain,
Jinke Haton Bikte Hain Bas Unhi Ko Maja Diya Karte Hain,
Yahan Par To Prakriti Bhi Thodi Dagmagai Si Lagti Hai,
Sayad Isiliye Insaniyat Sare Aam Yahan Bika Karti Hai.

Happy Holi

Tyoharon Ka Raja Hai Holi,
Jisme Har Kisi Ke Chehre Pe Sajti Hai Rangoli,
Chedkaniyon Aur Majak Se Khilti Holi Ki Saaj Hai,
Aur Chedkaniyon Ke Baad Har Koi Hai Yahi Kahta - Bura Na Mano Holi Hai.

Holi Ke Rangon Me Jiwan Ki ranginiyat Ka Samawesh Hai,
Holi Fiki Padi JIndgani Me Rangon Ka Prawesh Hai,
Holi Ki Madhoshi Har Kisi Ko Nashe Me Duboti Hai,
Chehre Chahe Jis Rang Ke Bhi Ho, Rangon ke Malne Ke Baad Har Kisi Ko Khoobsurat Banati Hai.

Holi Ka Har Rang Jiwan Me Ek Nayi Khushi Ka Parichayak Hai,
Holi Udasin Hoti Ja Rahi Insaniyat Ko margdarshit Karne Wala Nayak Hai,
Holi Sansar Me Ekjut-ta Lane Ki Nayika Hai,
Aur Sayad Yahi Soch Rakh Itihaas Me Jali Holika Hai.

Aao In rangon Ke Jariye Jiwan Ko Khushaal Karen,
Dusron ke Jiwan Me Rang Bhar Kuch chan Ke Liye Mahan Bane,
Mahanta Ki Parikashta Prakriti Ke Sarankshan Me Vidyamaan Hai,
Sukhdai Holi Ka Mulmantra Prakrutik Rangon Ka Gyan Hai.

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...