Wednesday 21 August 2013

Meri Fariyad

Jab karti ho mujhse pyar,
To chupati ho kis liye,
Aur jab nahi dekh sakti mere aankhon me aansu,
To door jakar mujhe rulati ho kis liye.

Teri tanhai me tu pad jati hai akeli,
To mujhe tum door bhagati ho kis liye,
Sarak jaye duppatta tera to mai huin machal jata,
Fir duppatta pahan kar aati ho kis liye.

Tere bina titar-bitar ho jati hai meri zindagi,
To fir tum chod kar mjhko jati ho kis liye,
Ye tere rishtedaar bhi tujhe gaware nahi hue,
To fir unki khatir tum mujhe tanhai se milwati ho kis liye.

Tumhare labon se nikale sabd bhate hai mujhe,
To fir tum hothon ko sil chuppi sadhti ho kis liye,
Jab tum hamesha ke liye nahi aa sakti mere paas,
To mujhse khud ka intezaar karwati ho kis liye.

Jab tum apne hathon se nahi khila sakti mujhko,
To mere liye khana bana ke lati ho kis liye,
Aur jab tum nahi jata sakti apna pyar,
To karti ho mujhse pyar aisa jatati ho kis liye.

Uun to mai bhi rah sakta huin tere bina,
Par mujhe pyar ki kadar karna aata hai,
Aur nahi nibha sakti mere pyar ko,
To khud ko meri premika batati ho kis liye.

Gori Tere Pyar Me

Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!
Khoobsurati ko teri dekh kar,
Humne aanhe bhari thi,
Tujhko paane ki aas me,
Humne aashiqi ki rah chuni thi,
Par tere bhaiyon ke hathon pit kar,
Hum doob gaye pyar ke majdhaar me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Tera hanth magne gaya to,
Baap ne tere bahut sunaya,
Maa ne teri bahut kosa humko,
Chai tak nahi pilaya,
Bhai ne teri degree jhanchi,
Aur bahut kosa mere designation ki aad me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Bua, Chachi aur tai ne teri mujhko pura jhancha,
Sach kahun lagbhag mera pura body scan kar dala,
Yahan-wahan chu-chu kar unhone mera majak udaya,
Aur tokne par taal gaye sab apne jawai ki janch ki aad me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Bahan ne teri humko apna momentary Boy Friend mana,
Ishq kaise karte hain – pura rehearsal mere sang kar dala,
Sayari, gazlen aur latife ki peshkas humse kar dali,
Bas ek ache jija – ji pane ki aad me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Saheliyan teri mere sang kheli Chedkaniyon ke khel majak me,
Teri saheli ke sath se jada shanti to milti hai mashoor jail Thihar me,
Unki khoobsurati ko sarahun, Yahi kaam raha pure sham me,
Kambhakhton ne pani tak nahi pucha,
Romantic Jija – ji ki aad me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Par haar nahi mani maine,
Sabko khud se impress karwaya,
Bapu, Amma, Chacha, Chachi Aur teri bahna ko bhi pataya,
Saheliyon se lekar pure khandaan ko pyar pe vishwas jagaya,
Ye sab khushi ke laye pal maine apni kawita ki aad me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Sunday 18 August 2013

Pyar Se Bhali Tanhai

Pyar do dilon ko karib hai lata,
Ek dusre ke prati vishwas ko hai badhata,
Uun to har dil ko hai aajadi pyar karne ki,
Kisi ke pyar pane ki, To kisi ke liye pyar nibhane ki.

Par itna aasan bhi ye pyar ka masla nahi doston,
Is bandhan me aankh band kar kahin fasna nahi doston,
Har sannate ke piche kisi tufaan ka aagaj hota hai,
Dil tutne par rona sirf akele hi padta hai.

Kisi ki mithi boli ki aadat na dalna,
Kisi ke sath sa sahara na mangna,
Pyar me kisi ka sab kuch accha lagna ek bimari hai,
Aur itna serious bimar padne ki lat mat dalna.

Mil jaye sath apne aashiq ka to duniya badal jati hai,
Par wahi sath mil ke bichad jaye to basi-basai duniya ujad jati hai,
Pyar me kisi ki parwah, pyar ko majboot banati hai,
Par kahin khatm ho gay ye parwah, to akelapan insaan ko tod jati hai.

Ye guroor jamana to sada hi raha pyar ke khilaaf hai,
Sayad isne bhi pyar ke dard ko saha hoga,
Mana aashiqi me milan ki bela swarg ki parichayak hai,
Par meet door ho jaye, to majboot insaan bhi dukh se roya hoga.

Ek baar pyar kar zindagi bhar tanhai se ladun to ladun kaise,
Jab khud maine hi sahe hai pyar me hone wale dard,
To dusron ko pyar karne ki salah dun to dun kaise,
Aaj apne anubhavon se ye dil-e-bayan karta huin,

Pyar se bhali hai tanhai, Sabko yahi hidayat deta huin.

Tere Dil Me Mujhe Pyar Najar Aata Hai

Jab bhi tu apni najron ko meri najar se milati hai,
Mujhe apni najron ke samundar me doobo le jati hai,
Jab-Jab tu apni palkon ko Sharma ke jhukati hai,
Tab-tab mujhe tere dil me pyar najar aata hai.

Jab bhi tu muskurakar mujhe chidati hai,
Apni harkaton se koi bachkani sthithi paida kar jati hai,
Jab-jab tu mujpe anekon sawalon ki warsha karti hai,
Tab-tab mujhe tere dil me pyar najar aata hai.

Jab bhi tu kuch galti karne se pahle mujhpe gussa ho jati hai,
Barish ke pani me kud-kud kar mere juton ko gila kar jati hai,
Jab-jab apni fulladpantiyon se mujhe stati hai,
Tab-tab mujhe tere me pyar najar aata hai.

Jab bhi bina kahe mera khyal tu rakh jati hai,
Ghanto-ghanto tak mere intezaar me akele samay bitati hai,
Jab-jab andheri raton me mere sath tu hoti hai,
Tab-tab mujhe tere dil me pyar najar aata hai.

Jab bhi tu rang birange jhumke pahan aati hai,
Naye-naye suit pe nayi-nayi chapallen pahan mujhe dikhati hai,
Jab-jab tu thand se bachne ke liye, mujhe simat jati hai,
Tab-tab mujhe tere dil me pyar najar aata hai.

Jab bhi tu aankhon me aansu chupa muskati hai,
Apne dard ko pi badi mature image dikhati hai,
Jab-jab tu meri tension ko release karne mere karib aati hai,

Teri Khubsurati Mujhe Maar Gayi

Tere chehre ki khoobsurati ne kiya mujhe prafullit,
Laga mano mai bhi ho gaya sitaron se samuh me samillit,
Sitaron ki bhanti mai bhi tujhe tak-taki bandh dekhta huin,
Aur apne chand se milne ke pyar-nume sapne dekhta huin.

Teri muskurahat par mujhe mar mitne ko jee karta hai,
Teri har ada par khud se fanna hone ko jee karta hai,
Tu to amber ke chand se bhi jada khoobsurat hai,
Aur isi baat pe chati chaudi kar ghumne ko jee karta hai.

Sawan ke mahine me warsha ki pahli bund hai tu,
Sheet lahar ki pahli thithuran hai tu,
Grishm ki pahli garm hawa hai tu,
Mere jism me basti har dhadkan ki shaan hai tu.

Teri payal ki khankaar, Chidiyon ki chah-cha-hat si hai,
Tere jhumke ki jhankaar, Gayak ki madhur gayaki si hai,
Teri muskurahat resham ke taar si hai,
Aur tu khud meri jaan si hai.

Tere khyalon ko mai apna armaan samjhta huin,
Tere wadon ko mai apna farmaan samjhta huin,
Tu hai mere sang is baat ko mai apna wartmaan samjhta huin,
Sayad isiliye tujh par mai apna adhikaar samjhta huin.

Tere sang jiwan ki preet mujhe banana hai,
Tujhe khush rakhte hue apne pyar ki reet jatani hai,
Tere aanchal me mujhe apna sukoon najar aata hai,

Agar mai huin kawi to tujhe apni kawita banana hai.

Mera Pahla Propose

Teri Najar Se Jo Mili Meri Najar,
Mach Gaya Ho Jaise Mere Dil Me Pyar Ka Kahar,
Tu Muskai, Fir Sarmai, Na Jane Kab Itni Karib Aai,
Tere Dil Ko Maine Apna Ghar Mana,
Aur Khud Ko Hamesha Ke Liye Us Ghar Ka Malik Mana.

Teri Har Ada Kar Jati Hai Mujhe Prabhawit Sada,
Tu Gair Thi, Tu Kahin Aur Thi,
Na Jane Kin Khayalon Me Sarabor Thi,
Par Jab Bhi Aai, Aur Muskai,
Tere Liye Mere Dil Ne Ek Khas Jagah Banai.

Teri aankhon Me Dikha Mujhe Apne Liye Pyar,
Maine Kiya Tujhe Kai Baar Propose, Par Tu Taal Gayi Use Hans Ke Mere Yaar,
Teri Hansi Ne Mujhe Sukoon Ka Dilaya Aihsaas,
Aur Tu Hai Sirf Meri, Is Baat Pe Badhaya Mera Vishwas.

Tere Aankhon Me Aansu Mujhse Dekhi Nahi Jati,
Tujhe Ruswa Dekh Mujhse Kawita Lihi Nahi Jati,
Tu Rahti Hai Khush, To JIne Ko Jee Karta Hai,
Tere Sang Har Pal Mohabbat Nibhane Ko Jee Karta Hai.

Yu Hai Kisi Aur Ki,
Ya Bhale Tujhe Chahta Koi Aur Hai,
Par Teri Har Dhadkan Pe Aagaj Mera Hai,
Tere Har Bhandhan Ko Todne Ko Jee Karta Hai,
Tujhe Is Duniya Se Chura Le Jane Ko Jee Karta Hai,
Tujhe Rahun Sada Khus, Yahin Amaan Dil Me Pale Baitha Huin,

Isiliye Aaj Tujhe Apne Tute-Puthe Sabdon Me Propose Karta Huin.

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...