Friday 28 September 2012

Shadi Ka Ladoo - Khayen To Khayen Kaise

Shadi Ka Bhandhan Sabse Hasin Hai Mana Jata,
Jisme Ek Hasina Se Aapka Rishta Hai Joda Jata,
Shadi Ka Wo Mauhol Koi Bhi bhool Nahi Pata,
Kisi Ko Ghodi Pe To Kisi Ko Doli Me Hai Bithata.

Par Shadi Ka Matlab Yahi Hota To Sab Aaj Khush Hote,
Bibi Se Pati Ka Aur Pati Se BibiKe Rishte Bahut MAdhur Hote,
Is Kalyug Me Kisi Ki Najar Lag Gayi Is Rishte Ko,
Taiyaar Hi Nahi Hai Shadi Ke Baad Ek Dusre Ko Samajhne Ko.

Pati Ka Wo Ghar Der Se Aana,
Bibi Ko Office Me Koi Jaruri Kaam Batana,
Patni Ka Pati Se Shoping Ke Liye Kah Kar Jana,
Aur Club Me Jakar Uun Thumke Lagana.

Kahin Na Khain Vishwas Khatm Hota Hai Ja Raha,
Bhagwan Ke Banaye Rishton Ke Sath Insaan Hai khilwad Karta Ja Raha,
Agar Apne Apne Hamsafar Ko Samajh Le Har Koi,
To Ghar Me Hongi Sirf khusiyan Aur Dur Rahe Ruswai.

Aaj Mai Sabhi Shadi Shuda Logon Se Karta huin Gujarish,
Sabhi Shadi Shuda Logon Ki Khushi Ke Karta Huin Rab Se Sifarish,
Aap Logon Ka Pyar Hi Aapki Zindagi Ko Sawar Sakta Hai,
Warna Is Duniya Me Har Koi Dusre Se Jala hi Karta Hai.

Thursday 27 September 2012

Samay - The Time

Samay Kya Hai? Samay Kiska Hai?
Aise Sawalon Ne Pata Nahi Kyoun Tha Mujhe Gher Rakha,
Samay Ki Paribhasa Se Ho Sake Mera Ru-b-a-roo,
Isiliye Mere Ashant Man Ne Tha Mujhe Kachot Rakha.

Samay Ki Samajh, Agar Samay Rhate Aa Jati,
To Is Dharti Pe Kabhi Dukh Na Aate,
Samay Ki Talim Agar Aasani Se Samajh Aa Jati,
To Yahan Raja-Runk Aur Runk-Raja Na Ban Jate.

Samay Ki Gawahi To, Khud Samay Bhi Nahi Deta,
Agar Chuk Ho Jai Thodi Si To Sab Kuch Hai Cheen Leta,
Samay Ki Maar Se To Koi Bhi Bach Nahi Paya Hai,
To Bhi Aaj Taraqqi Ki Unchai Pe Hai, Wo Samay Ke Sath Hi Gaya Paya Hai.

Samay Pe Jor Jabardasti Chalti Nahi,
Samay Ke Raaj Me Bandhua Majdoori Chalti Nahi,
Samay Ko Uska Palan Karke Hi Hai Jeeta Ja Sakta,
Warna Samay Ko Koi Bhi Parajit Nahi Kar Sakta.

Ab to Vigyan Bhi Jut Gaya Hai Samay Ko Janne Me,
Samay Ke Upar Aavishkaron Ko  Unnati Dilane Me,
Par In Sab Se Pahle Hame Samay Ko Wo Tawaju Deni Hogi,
Warna Samay Pe Ki Hui Phd Kisi Ki Bhi Kamyaab Nahi Hogi.

Waqt Rahte Hame Khud Ki Samay Se Pehchaan Badhani Hogi,
Mahngai Simayen Langh Jayen Isse Pahle USe Ghatani Hogi,
Aao Uthaen Kadam Aur Tay KArle Sari Duriyan,
Warna Waqt Gujarne Ke Baad Hoti Hai Sabki Apni Apni Majburiyan.

Desh Prem

Desh Prem Ki Bhawna Ek Nayi Sfoorti Hai Lati,
Mare Hue Me Bhi Wo Jaan Hai Phook Jati,
Desh Wasiyon Me Desh Pe Mar Mitne Ki Bhawna,
Bada Anokha Aihsaas Hai Dilati.

Bharat Ki Mitti Me Maine Ek Sunhari Khusboo Ko Paya Hai,
Himalay Ki Unchai Ko Maine Aadhar Stambh Mana Hai,
Hawaon Ka Wo Faslon Ko Lahrana Mujhe Kuch Bha Gaya,
Jane Is Desh Pe Mar Mitne Ka Vichar Mere Man Me Kab Aa Gaya.

Desh Prem Ki Bhawna Mere Khoon Me Thi Basi,
Is Desh Prem Ki Anoobhuti Maine Apne Pitaji Se Li,
Wo Ta-Umra Apna Jiwan Fauj Me Kaat Gaye,
Desh Ke Liye Kuch Bhi Karna Bas Mujhe Sikha Gaye.

Aaj Desh Me Badhti Mahngai Mujhe Bahut Hai Tatol Rahi,
Desh Ko Bachane Ke Liye Mujhe Under Se Jhankor Rahi,
Man To Karta Hai Ki Mai Bhi Politics Me Utar Jaun,
Par Jab Baat Jagrukta Badhane Se Ban Sakti Hai,
To Phir Politics Ke Corruption Me Kyoun Jaun.

Agar Mai Hi Ho Gaya Corrupt, Politics Ki Garima Nibhane Me,
To Kaun Fahlaye Ga Jagrukta, Madadgar Hogi Jo Desh Wasiyon Ko Jagane Me,
Ek Taraf Log Khakhi Pahan Utar Chuke Karke Khud Ko Pura Arpit,
Meri Ye Kawita  Karta Huin Sabhi Desh Premiyon Ko Samarpit.



 

Wednesday 26 September 2012

Mahngai - Khushi Se Judai

Aaj Har Taraf Charcha Sirf Mahngai Ka Hai,
Har Cheej Ke Damon Ki  Chuti Unchaai Ka Hai,
Aaj Har Insaan Garibi Ki Maar Hai Sah Raha,
Koi Bhooka To Koi Bina Chat Ke Hi So Raha.

Mahngai Ne Har Insaan Ki Kamar Hai Tod Dali,
Aamdani Se Jada Kharch Ki Chinta Ne Insaan Ki Nind Hi Hai Bhaga Dali,
Ab To Har Insaan Bas Apna Jiwan Hai Kaat Rata,
Mahngai Kam ho Jai Bas Ishwar Se roj Yahi Dua mang Raha.

Aaj Gas-Diesel-Petrol Ki Mahngai Aasman Ko Chune Ja Rahi,
Desh Ki GDP Ko Sharm Se Jhooka Rahi,
Jagurta Aur Desh Prem Ko Fir Se Karna Hoga Hame Bahaal,
Jo Kam Kar Jayen Is Mahngai Ko Dikhate Hue Apna kamaal.

Aao Milkar Desh Ke Liye Bhi Hum Do Minute Soche,
Mahngai Se Picha Chudane ke Liye Sahi Kadam Chune,
Aaj Sawal Desh Ko Paripaqwata Dilane Ka Hai,
Desh Ki Pragati Swarup Kadam Uthane Ka Hai.




Dosti - Ek Anoka Rishta

Zindagi Ki Rahon Me Nikal Pada Tha Akela,
Kisi Dost Ki Thi Talash Par Kismat Ne Mujhe Tanhai Me Dhakela,
Fir Bhi Ladte Hue Mai Tanhai Se Lad Gaya,
Anjaano Se Mil Jul Kar, Apna Dost Khojne Laga.

Zindagi Badhi, Rahe Badli, Aur Mulaqaton Ka Silsila Suru Hua,
Kaiyon Ne Mujhe Kiya Prabhawit, To Kayion Pe Mera Prabhav Hua,
Par Ab Bhi Dil Kisi Aur Ki Talash Tha Kar Raha,
Jane Kaise Gun wale Ko Tha Khoj Raha.

Tabhi Zindagi Me Ek Insaan Se Mulaqat Hui,
Aisa Laga Jiwan Me Pahli Baar Kisi Se Mil Kar Khushi Hui,
Naam Puchne Par Usne Khud Ko Dost Bataya,
Mere Dil Me Apna Ek Vishesh Jagah Banaya.

Bure Waqt Me Diya Sath, Aur Ache Me Khoob Maja Karaya,
Galti Kar Ne Par Usne Waqt Rahte Mujhe Sahi Rah Dikhaya,
Us Din Mere Dil Ko Bahut Mila Sakoon,
Shant Jo Ho Chuka Tha Mere Dil Me Dost Banane Ka Junoon.

Ishwar Har Insaan Ko Ek Sache Dost Se Nawaje,
Jo Dosti Ka Matlab Khoob Achi Tarah Pahchane,
Zindagi Me Dosti Se Bada Koi Rishta Nahi,
Dost Na Ho To Zindagi Me Koi Ras Nahi.

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...