Tuesday 31 December 2013

Happy New Year 2014

Ye Nav Warsh Laye Aapke Jiwan Me Apar Khushiyan,
Kam Ho Jayen Is Nav Warsh Me Aapki Apno Se Duriyan,

Yu To Khusiyan Batne Aaya hai Ye Naya Saal Twenty Fourteen,
Kahin Aap Piche Na Rah Jaye, Dete Hue Duhai Apne Kaam Ke Routine.


Bade Harsh Ulaas Ke Sath Swagat Kigiye Is Naye Saal Ka,
Apne Naye Lakshya Ko Sadhiye Aagaj Karte Hue Is Naye Saal Ka,

Aapki Zindagi Me Ye Naya Saal Ek Nayi Kranti Ka Farmaan Bane,
Aapki Tarakki Apke Apno Ka Khushnuma Armaan Bane.


Un To Naya Saal naye Resolutions Ki Guhar Hai,
Purani Galtiyon Se Sikh Lekar Khud Ko Sudharne Ki Pukar Hai,

Jin Logon Ke Tode Hai Dil Unko Samman Dene Ka Vyavhaar Hai,
Khud Se Nahi Mile Jo Kaam Ki Aad Me Unhe Khud Se Milne Ki Darkaar Hai.


Is Naye Saal Aao Desh Ke Prati Bhi Apni Zimmedari Nibhayen,
Kam Karen Bhrastachaar Aur Kaam Pure Karwane Ke Sahi raste Apnaayen,

Koi Kisi Ek Ghar Me Kisi Ek Ko Karega Sikshit,
To Koi Bas Ek Vriksha Laga Karega vatawaran Ko Surakshit.


Aao Desh Se Garibi Ko Karen Salaam,
Jo Kar Rahen Hain Kala-Bazaari Aao Milkar Tode Unki Tang,

Apne Kartawyon Ke Prati Dikayen Hum Apni Puri Imaandaari,
Jitna Ho Sake Kare Hum Swadeshi Cheejon Ki Khari-Daari.


Aao Milkar Is Naye Saal Ko Aur Tarakki-Numa Banaye,
Jo Hasil Nahi Kiya Humne Jhonk Kar Khud Ko Aao Use Apna Banaye,

Khush Rahen Aur Bante Khushi Har Taraf – Taki Khushi Ki Lehar Bahe Har Taraf Se,
Is Naye Saal 2014 Ki Subhkamnayen Kubool Kare, Is Nacheej Ki taraf Se.


Sunday 22 December 2013

Tarraki Se Milne Ki Aas

Bhula dena mujhe, kyounki tujhe jina hai mere bina,
Is baat ke liye bhale tu maan mujhe kutta ya kamina,
Tere sath ka aagaj, tu khud hi na kar paai,
Mujhe laga maine pa liya tujhe, lakin wo to nikli teri sirf parchai.

Teri chahat ka sabak bada nikla kathor,
Tujhe khush rakhne ke liye hi, badha tha mai teri oor,
Par antim pagon me tu aur door hoti chali gayi,
Maine socha pa li maine apni manjil, par tu to mujhe bhulte chali gayi.

Kisi ke sath ki pukaar sada dil se hai nikla karti,
Lakin har kisi ke dil ki muraad puri nahi hoti,
Maine to bas teri khushi ko apna maksad hai maana,
Par tune khud se kabhi nahi kaha – Rahul Kuch pal mere sang bhi bitana.

Tu apni zindagi me rahi uljhi is kadar,
Ki teri tadap me machaya meri zindagi me gadar,
Un to main koi bada samaj sewak na tha,
Par tujhe khush rakhne walon ki pratiyogita me mai kisi se kam bhi na tha.

Teri chahat ko dil me dabaye teri khushi ki kamna karta huin,
Ek din tujhe meri ahmiyat samajh aayegi, ye vishwas rakhta huin,
Mujhe pata hai teri zindagi me abhi ghanghor gum aane hain,
Jo dot denge tujhe puri tarah se,
Aur khud ko jhota khush rakhne ke nahi chalne wale bahane hain.

Teri us dasa ko dekh mera dil ashru bahayega,
Agar jarurat samajh aa gayi tujhe meri, To yaad karna,
Banda teri khidmat me hazir ho jayega,
Par yaad rakhna, Tadap ek tarfa ho to wo lagaw kahlati hai,
Aur agar hai pyar, to tadap dono taraf barabar ki aag lagati hai.


Thursday 19 December 2013

Chahat-e-Dard

Jise chaha maine tahe dil se,
Wo mujhe kabhi mili hi nahi,
Use dekhkar hua aihsaas kali ka,
Par na jane wo kali kabhi khili hi nahi.

Suna tha pyar nasib walon ko hai milta,
Par mere nasib ne apni sakshiyat dikhai hi nahi,
Wo mili ek-do mulakaton me dil se,
Lakin un mulakaton ne mujhe pyar ki santushti dilai hi nahi.

Kaise koi maan le kisi ko apna,
Jab uske sath ki tadap uske milne ke pichle palon se jada hai,
Kaise basa le koi kisi ko apne dil me,
Jab uski bichad jane ki probability jada hai.

Kisi ke sath bitae pal agar yaad bane, to use lagaw samajhna,
Agar wo yaden, lagataar Karen pareshaan, to use pyar samajhna,
Magar pyar ke aagosh me ek baar uske sath ko parakhna,
Kynki bina sath uske, Pyar jawan hota hi nahi.

Agar sath na mile, to mahroom pyar, kaatil hota hai,
Sirf yaden rah gayi to bada-se-bada aashiq, Dewdaas ban jata hai,
Dewdaas ke dard ko samajhna Itna aasan nahi,
Aur yaad rahe – Pyar bhale ho gaya ho kisi se,
Lakin uska sath mile ye jaruri bhi nahi.

Is pyar ke dard se Aashiq, Pyar pe se kho rahe vishwas hain,
Kai mashukayen aisi hai jinhe sacche aashiq ki darkaar hai,
Par na jane prakriti do pyar karne walon ko kyoun nahi milati,
Heer-Ranjha, Laila-Majnu se lekar Krishna-Meera tak, Sabhi ko ek-dusre ke sath ke liye hai tad pati.

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...