Sunday 12 May 2013

Maa ki Jai Ho

Bache ne jab aankh kholi to usko maa ki god mili,
Bache ne jab kisi ko pukara to maa ki usko preet mili,
Bache ne apna sab kuch bas maa ko hi maan liya,
Maa ne bhi apna sara pyar apne bacche pe hi luta diya.

Khud rahe jaye bhale hi bhooki par bacche ko sada khana khila diya,
Aisa karam kar maa ne apni mamta ki chawi ko dikha diya,
Maa ki mamta ke samne koi aur duja rishta nahi,
Baccha chahe kitni bhi ho mushkil me par maa ka ho aashirwaad to koi chinta nahi.

Maa sada se hi balidaan ki dewi hai,
Apne baccho ke sada karti wo icha puri hai,
Maa ke charnon me sara bramhand hai sama jata,
Maa hi hai jiske aanchal se lipat har mushkil ka samadhan hai mil jata.

Maa ke is roop ko mai aaj karta hui sadar pranaam,
Itihaas gawah hai maa ke aasirwad se hi maine kiye hai bade bade kaam,
Agar na mila hota mujhe apni maa ka sahara,
To sayad is jag me mai uun hi rah jata bankar banjara.

Aao aaj hum sab mil kar apni maon ko kare pranaam,
Unke aashirwaad se apna apna karen is jag me naam,
Maa ka karj to kabhi koi nahi utar sakta,
Ye jindagi to bahut choti hai, saat janmon  tak har koi maa ka karjdaar hai rahta.

Friday 10 May 2013

Dost - Tu Na Ja!

Dost tu bada bemisaal hai mera,
Intellectualism ke liye mai deta huin sada misaal tera,
Duniya mai aisa koi bhi topic nahi jispe tu bahas na kar sake,
Aur har topic ke discussion me apna varchaswa na jahir kar sake.

Bahut kam hote jo itni gambhirta se hai socha karte,
Apni khud ki life ko itni seriously jiya hai karte,
Teri soch aur jine ke jariye ko mai karta huin salaam,
Dua hai meri ki tu jag me bahut kare uncha apna naam.

Tere sath ko mai bhoola nahi paunga,
Are pagle tu to chala jayega, lakin apne intellectual thoughts ko kiske sath share kar paunga,
Teri yaad mujhe Line measurement aur AEC Region ki bahut yaad dilayegi,
Ab tu nahi hai hamare sath is baat se bada rulayegi.

Apne jiwan ki rahon pe sada rahna agrasar,
Fir chahe raste kitne bhi ho jarjar,
Apne kadmon ko sada badhate rahna,
Kyouki badhte kadmon se hi tai hoti hai duriyan,
Warna waqt gujarne ke baa dhoti hai sabki apni apni majburiyan.

Sunday 5 May 2013

Mohabbat ki Paribhasha

Mohabbat wo aagosh hai jisme majnoo ka sansar hi hai badal jata,
Jeeta to apne sarir me haiPar apni jaan kisi aur ko jai bana aata,
Mohabbat me aashiqi ka gumaan hota hai,
Niswarth bhaw rakhte hue anginat balidaan hota hai.

Mohabbat koi khel nahi jisme haar-jeet ho,
Ye to dil ka mail hai jisme apnepan ki preet ho,
Isme pyar ke war se mushkil paristithiyon ko hai jeeta jata,
Apne lagao se ek-dusre ka man hai jeeta jata.

Mohabbat itni bhi aasan nahi ki har kisi se nibh jaye,
Ye to wo dariya hai jisme majnoo gote to lagaye par dariya paar na kar paye,
Mohabbat me dilo ko samajhna jaruri hai,
Aur in sab ke upar dil ki khushi ka khyal rakhna jaruri hai.

Mohabbat suruaat me ek kissa hai,
Jisme banta anjaan se ek naya rishta hai,
Agle aagosh-e charan me mohabbat ek dariya hai,
Aashiqon ke liye pyar jatane ka anokha jariya hai.

Khuda Se Ruhai


Ae khuda, tu kabhi galti se bhi pyar mat karna,
Tu nahi janta ki pyar ke dard me kitna mushkil ho jata hai jeena,
Mai to mar ke phir bhi tere paas aa jaunga,
Lakin tera dil tuta to tu kahan jayega.

Teri banai is duniya me na jane kyoun log pyar kar dhoka deta hain,
Are nahi kar sakte pyar to na jane kyoun wade karte hain,
Samjha de apne bando ko ki dil se kisi ke is kadar majak na karen,
Samajh de unhe ki aage se wo dil ko koi khelne ki cheej na kahen.

Are dil to teri mehar ki lajawaab misal hai,
Samwedanshilta aur bhawukta ki anokhi misal hai,
Kaise tere bande is dil ke sath hai khel jate,
Tu gussa ho jayega unpar, Ye kaise hai wo bhool jate.

teri khudai me humne bahut chamatkaar dekhe hain,
Insano ko pyar ki ho kadar bas itni si aas hum rakhe hain,
Pyar karna to mohabbat ki ibadat hai,
Kisi aur ke sarir me chal rahi sanson pe apna haq samajhna, Hi to asli jiwan ki saleek hai.

Shadi Mubarak


Mubarak ho tumko ye shadi tumhari,
Sada khush raho tum ye dua hai hamari,
Mile tumhe jiwan me har khushi,
Dua hai har icha teri jarur ho puri.

Tere jiwan me khushali ka aagman hoga,
Tera jiwan sathi tujhe har pal khush rakhega,
Tere chehre ki muskurahat hi uske jine ka saar hoga,
Aur tera sab kuch tere pati ka pyar hoga.

Mai dost tera teri khushi ki kamna karta huin,
Teri shadi me nahi aa sakta, is baat ka mai mafinaama bhejta huin,
Are suna hai Dil se nikli dua duriyan tai kar jati hain,
Vishwas karte hue is baat par, apni subhkamnayen bhejta huin.

Zindagi ke is naye daur me bahut khush rahna,
Apne doston ko har ghadi me yaad rakhna,
Tera sath hame aaj bhi teri yaad dilata hai,
Tu patni ke rup me misal bane ye dua hamare dil se nikal ke aata hai.


Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...