Tuesday 27 November 2012

Girl Friend's Brother Birthday

Zindagi ki udaan me sada tum sabse uncha rahna,
Musibate chahe jitni bhi aayen kabhi kisi se bhi nahi darna,
Apne Vicharon me itni kabiliyat banaye rakhna,
Ki Duniya ko pad jaye tujhe salam thokna.

Teri meri dosti ek missal hai,
Tere sath bitaye hue pal mujhe aaj tak yaad hai,
Sukriya teri didi ka jisne mujhe tujhse milaya,
Chote Bhai ke rup me tujhse awgat karwaya.

Teri khusmati teri rah saware,
Teri taraqqi sada tere jiwan ko nihare,
Tu rahe sada khush aur ye baat teri muskurahat se jhalke,
Yaad kar lena dost kabhi bhoole-Bhatke.

Teri Khusion se mai bhi khush ho jaunga,
Preshan mat ho iska reason bhi mai tujhe bataunga,
Teri Khushi se teri didi bahut khush ho jati hai,
Tum dono ki khushi mujhe khushi dilate hai.

Apne dost ki taraf se subh-kamnayen kabool karna,
Aaj ke din jee tod maje karna,
Aa sakun kisi kaam tere to jarur yaad karna,
Aur kuch na ho kaam to teri didi ko tang kar mera badla lena.

Bas uun hi badhte rahna apne vicharon ko sambhalkar,
Contribute karte rahna jee-jaan lagakar,
Tere Candidature ne University me jaan fook diya,
Thanks to Uncle, Aunty and teri didi jinhone tera bahut sath diya.


Mentor - Dost

Wo subah bhi kuch khas thi,
Meri kismat sayad mere sath thi,
Maine kiya Company me aagaman,
Jane kya soch raha tha mera man,

Maine pahli lift chodkar dusre me kiya pravesh,
Ek ladki se mila, jiska pari jaisa tha aavesh,
Uski khusboo pure lift me cha gayi,
Meri band aankhon se hi nind bhag gayi,

Mere usko dekhne se pahle hi wo muskurai,
Maine apne khus kismati ko di badhai,
Wo boli “Aap Kis team me aa rahe ho?”
“Kaun sa portfolio nibhane jaa rahe ho”

Mere jawab dene se pahle hi,
Lift 6th floor par aa pahunchi,
Meri khusi bas wahin pe simti,
Kyoki unko apne desk pe jaana tha,
Aur mujhe unhe apna jawab batana tha,

Kaam ke bojh tale, wo din bhi chala gaya,
Mera jawab muj tak hi simat kar rah gaya,
Agle din hi maine unko apna mentor banne ka vinti kiya,
Unke darshay raah par khud ko chalane ka bhi wada kiya,


Bas ek chahat lekar mai apni desk par pahunch gaya,
Unse  gyan pane ke liye mera dil dol gaya,
Par halaton ne phir ek baar mujhe dhoka diya,
Unke under kaam karne se pahle mera mentor badal diya,

Na unhone samjhaya, na mai samjha,
Tut gaya mere armanon ka dhancha,
Par wo gum bhi mere liye khusi laker aayi,
Ek pari jaisi mentor se meri dosti karai,

Bas ab mai ek hi tammana rakhta huin,
Apni mentor dost ke liye khusi ki kamana karta huin,
Mere hisse ki khusi bhi use de dena,
Bas badle me uski mentor wali dosti ka saath diwa dena.

DICOM


Ek Din Ek Saksh Ne Mujhse Pucha, Ye DICOM Kya Hai,
Medical Domain Me DICOM Se Aas Kya Hai,
Jawab Mera DICOM Ka USke Dil Pe Cha Gaya,
Digital Imaging and Communications in Medicine” Hai DICOM, Ye Sun Kar Hi Wo Ghabra Gaya.

Waise Jo Bhi Ho DICOM Ki Lila Hai Nirali,
Sukriya Ho NEMA Ka Jisne DICOM Standard Ki Copyrights Hai Sambhali,
DICOM Me Har Implementation Standards Ke Tahat Hai Ki Jati,
Kuch Samajh Me Na Aaye To Sidhe, DICOM Conformance Picyure Mai Hai Aa Jati.

DICOM Naye Rishte Ki Buniyaad Hai,
Handling, Storing, Printing And Transmitting Information in Medical Imaging” Hi To DICOM Ka Kaam Hai,
DICOM Me Pahchaan C-ECHO Dwara Hai Banai Jati,
Called AE Title Aur Server Address Pata Ho Tab Hi, Calling AE Title Ka Namaskar Swikar Hai Ki Jati.

Pahchaan Bante Hi RIS/HIS Server Pariwar Ke Sadasayon Ki Khabar Hai Li Jati,
Scheduled Procedure Start Date Aur Modality Ke Aadhar Par, MWL C-FIND Request Hai Bheji Jati,
Server Pariwar Ke Sadasayon Ki Jankari Se Image Views Ka Pata Hai Chal Jata,
Khushi Ki Baat To Ye Hai Ki MWL Response Ka Use MPPS Query Me Hai Kiya Jata.

MWL C-FIND Request Ki Paribhasa Ko QR C-FIND Request Ne Khoob Samjha,
Study Date Aur Modality Ke Naam Pe QR C-FIND Query Kar Daala,
QR Query Me Hierarchical Aur Relational Model Ki Maang Hai,
Study Aur Series Hi Root Aur Level ki Pahchaan Hai.

QR Retrieve Me Server Se Sadasayon Ke Data Ko Retrieve Hai Kiya Jata,
C-FIND Response Ke Liye Internal C-STORE operation Perform Hai Kiya Jata.
C-STORE operation Se Data Apne Ghar Me Hai Jata,
Phir Usko Import Karke Image Viewer Pe Hai Dekha Jata.

Store Ki Mahima Badi Hi Nyari Hai,
Bure Waqt Ko Jhelene Ki Ye Pahle Se Taiyaari Hai,
Server Pe Sara Data Store Hai Kar Diya Jata,
For Processing” And “For Presentation”  Ke Vibhaag Me Hai Unhe Banta Jata.

Data Ki Samajh Hame Transfer Syntax ID Bhaiyon Se Padti Hai,
Chote Ko “Little Endian” Aur Bade Ko “Big Endian” Ki Tawajju Milti Hai.
Negotiation Jis ID Ke Sath Propose Kiya Jai, Uski Hi Chala Karti Hai,
Dusra Koi Transfer Syntax ID Agar Aa Jaye, To Usse Sada Haar Hi Milti Hai.

Store Server Pe Storage Ki Dua Kabool Ki Jati Hai,
Prasad Ke Rup Me Commitment Wapas Aati Hai.
Pahle Commit SCU, Apni Bhakti Se N-ACTION Request Hai Bhejta,
Phir Association Todkar, Apne Kaam Me Hai Lagta.

Dua Kabool Ho Jane Par, Commit Server Khud Hi Bhakt Ko Bulata Hai,
Commit Server Ke Dwar Se Bulawa N-EVENT REPORT Request Kahlata Hai.
Bhakt Apni Khusi Ko N-EVENT REPOSRT Response se Nawajta Hai,
Commitment Ki Acknowledgement Ko, Database Me Entry Karwata Hai.

Bahri Duniya Se Milap Print Ki Shaan Hai,
Jo Dikhta Hai Wahi Bikta Hai, Yahi Uski Pachaan Hai,
Sari Processing Kar Ke Print DICOM File Pe Hai Khelta,
Printed Film Ko Study Karke Har Radiologist Khushi Se Hai Jhumta.

Ant Me MPPS Ke Procedures Se Sama Rangin Hai Ho Jata,
N-SET Aur N-EVENT Apna Khoob Hai Rang Dikhata,
MPPS Server Se Procedures Ki Sari Jankari Hai Mil Jati,
Bas Association Timeout Na Ho Jaye, ISiliye MPPS Server Ki Connectivity Hai Check Ki Jati.

Monday 26 November 2012

Image Processing


Jab Duniya Ko Dekha, Tab 3-D Ki Bhasha Samajh Aai,
Aur Jab 3-D Objects Ko 2-D Me Dekha, To Wo Image Kahlai,
2-D Image Me 1-D Ki Information Hai Kho Jati,
Sayad Yahi Wajah 3-D Images Ki Aawashyakta Ko Hai Badhati.

Images Ko Kai Prakar Se Classify Hai Kiya Jata,
Binary, Grey Scale Aur Colour Me Mukhyatah Vibhajit Hai Kiya Jata,
Images Ka Storage Bhi Format Me Hai Kiya Jata,
BMP, TIFF, JPEG, GIF Aur PICT Se Unko Hai Nawaja Jata.

Image EnhancementSpatial Aur Frequency Domain Me Hai kiya Jata,
Image Enhancement Ke Dwara Image Ki Subjective Quality Ko Hai Badhaya Jata,
Spatial Domain Me Image Raw Data Ke Sath Ched-Chad Hai Ki Jati,
Frequency Domain Me Fourier, Butterworth Aur Gaussian Babaon Ki Khoob Puja Hai Ki Jati.

Alag-Alg Masks Ke Sath Image Processing Ko Hai Nikhara Jata,
Neighborhood Processing Ki Parikashta, Masks Hi Hai Badhata,
Agar Masks Ne Apni Mahatwapurn Bhumika Na Nibhai Hoti,
To Spatial Aur Frequency Domain Filters Ki Samajh, Kahan Kisi Ko Aai Hoti.

Image Segmentation Me Image Ko Regions Me Hai Bata Jata,
Image Analysis Ke Liye Ye Sara Beda Hai Uthaya Jata,
Intensity Me “Similarity” Aur “Discontinuity” Hi Segmentation Karne Ke Prakar Hai,
Image Feature Extraction” Pe Hi Segmentation Ki Jaan Nisar Hai.

Discontinuity Ke Aadhar Pe Point, Line Aur Edge Detection Hai Ki Jati,
Edge Detection Me Prewitt Aur Sobel Filetrs Ke Smoothing Effect Ki Gathayen Hai Sunai Jati,
Edge Linking Aur Curve Detection Me, Hough Transform Ka Jawab Nahi,
Region Growing Aur Region Splitting &Merging Ke Bina Segmentation Ki Paripakwata Nahi.  

Image Processing Me Morphology, Regions Aur Shapes Ki Gawah Hai,
Dilation Jahan Pixels Ko Add Karti, Wahan Erosion Me Pixels Reduction Ki Kahan Kise Parwah Hai,
Erosion Ke Baad Dilation Ho Jaye, To Opening Hai Kahlaati,
Aur Kahin Dilation Ke Baad Erosion Ho Jaye, To Sari Kahani Closing Me Hai Badal Jati.

Magar Is Mahngai Ke Jamane Me, Image Compression Jaruri Hai,
Redundant Aur Irrelevant Data Ka Nikalna Bahut Jaruri Hai,
Error Criteria Lossy Compression Ke Performance Ki Jaan Hai,
Ab Tak to Aap Sab Samajh Gay Honge, Ki Kyon Image Processing Skill Set Itni Kaamyaab Hai.

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...