Monday 31 December 2012

Damini - Ek Amar Gatha

Tune Tab Dum Toda, Jab Dharti Pe Candels Ki Thi Chandni,
Tu Ye Mat Samajhna, Teri Maut Bekaar Gayi - Meri Damini!!!
Tu Khud Ko Sulakar Pure Desh Ko Jaga Gayi,
Bure Waqt Se Tu Gujri Lakin Dard Pure Desh Ko Kara Gayi,

Tu Jahan Bhi Hai - Dekh - Insaniyat Hai Jaag Uthi,
Desh Maafi Mang Raha Hai Tujhse - Kyoki Galat Hum Sab Hai Kahin Na Kahin,
Tere Jine Ki Abhilasha, Logon Ko Prerit Kar Gayi,
Jo Tere Sath Hua Wo Kisi Aur Ke Sath Na ho - Isiliye Majboot Kanoon Ki Mang Kar Gayi.

Tu Operation Theater Me Leti Thi, Par Surgery Desh Ke Sath Hui,
Sarir Tera Chira Gaya, Par Desh Washiyon Ki Aatmayen Chalni Hui,
Tu Kabhi Mat Samajhna Ki Tu Hai Haar Gayi,
Are Damini! Dekh To Jara Tu Buland Bharat Ki Aawaj Bani.

Tere Dukh Ko Pure Desh Ne Kiya Mahsus,
Jab Tu Hospital Me Pi Bhi Nahi Pa Rahi Thi Juice,
Tere Katilon Ko Saja Milegi - Ye Pure Desh Ka Pran Hai,
Aur Tu Sada Rahegi Hamare Dilon Me Jiwit - Ye Sabhi Bharat Wasion Ka Wachan Hai.

Happy New Year 2013


2012 Ka Ye Aakhiri Lamha, Bada Bhawook Kiye Ja Raha Hai,
Pure Warsh Ke KaryaKaal Ko, Phir Se Yaad Dilaye Ja Raha Hai,
Khusiyon, Tyoharon Aur Jashn Ke Lamhe, Ye Sab Yaad Aate Hai,
2013 Ke Swagat Ki Ye Hame Saugaat Dilata Hai.
Gujre Warsh Me Sabne Chue Honge Kai Mukaam,
Apne Sukarmon Se Sabne Roshan Kiye Honge Naam,
Par Nirash Na Hona Agar Anjaane Me Bhi Lag Gaya Ho Koi Ilzaam,
Mehnat, Parishram Aur Lagan Se Rahna Agrasar,
Kyoki Yahi Hai 2013 Ka Raam Baan.
Pyar Ko Badhana Taki Insaniyat Ki Pooja Ho,
Chal, Kapat Aur Dhokha Na Karna, Chahe Kitni Bhi Visham Paristithi Ho,
Har Insaan Apni Insaniyat Ke Liye Pooja Jaye,
Rab Kare 2013 Kuch Aise Palon Ke Sath Aaye.
2013 Desh Ki Tarakki Ka Aagaaj Bane,
Aap Sabhi Desh Ki Pragati Me Yogdaani Bane,
Aap Sabke Jiwan Me Khusiyon Ka Ho Aagman,
Bas Yahi Dua Karta Hai Mera Man…Mera Man!!!
- Rahul Singh

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...