Wednesday 26 February 2014

Tarraki - Apno Ka Saccha Pyar

Khushi ki madhoshi mujhpar us din chaegi,
Jab meri kismet mujhe meri tarraki se milwaegi,
Mai to anjaan tarraki se, apna karm tha nibha raha,
Par naraj si lagti thi mano meri tarraki, Jisse rubaru na ho pa raha.

Maine karm ko dhal bana, tarraki ki aor kiya kooch,
Par fasle badhte dikh rahe the, na jane kahan ho rahi thi mujhse chook,
Maine apne man ko ekaagrata ke bhawar me jhonka,
Tarraki ki dhundhali tasweer ko swapno me maine dekha.

Tarraki kya mayne rakhti thi, ye bhi na tha mai janta,
Use pane ke liye mai bhala kis disha me bhagta,
Man ki asantushti ko mitane mai chal to pada tha,
Par kab aur kaise milegi tarraki, Ye bhi mujhe kahan pata tha.

Tarraki paise se mili samaj me pahchaan thi,
Ya kisi unche pad pe viraajmaan hone ka samman thi,
Tarraki apno ka adrushya pyar thi,
Ya kisi khas ke dil me basne ka aihsaas thi.

Badi Asamanjhas ma mai ji raha tha apni zindagi,
Sab kuch to tha mere paas, fir kaisi anubhav kar raha tha mai bandage,
Tarraki ko pane me maine apna sarva-shresta pradarshan diya,
Par mil chuki hai mujhe tarraki ye aihsaas mujhe kabhi nahi hua.

Ek din kisi apne ne mere dukh bhare aansu ponche,
Meri khushi me mere apno ne khud ke gamon ko bhula, Khud ko jhonke,
Sayad wahi apnapan mujhe man ki shanti se awgat kara gaya,
Apno ka saccha pyar hi hai tarraki, Ye baat mere jahan me jata gaya.

Saturday 22 February 2014

Dhokhe Ka Tod Pyar

Jab Registan Me Tha To Ret Ne Pahchana Mujhko,
Jab Badlon Ne Ghera Mujhe Tab Barsaat Ne Pahchana Mujhko,
Us Tapti Garmi Me Surya Ki Kirno Ne Pahchana Mujhko,
Bas Wo Ek Insaani Chehra Hi Na Samajh Paya Mujhko.

Us Khoobsurat Chehre Ke Didar Pe Marta Tha Mai,
Us Chehre Ki Muskurahat Pe Garv Karta Tha Mai,
Mai To Ji Raha Tha Us Chehre Ki Chamak Ko Barkaraar Rakhne Ke Liye,
Na Jane Kaise Wo Chehra Adheer Ho Utha Mujhe Barbaad Karne Ke Liye.

Us Chehre Ko Maine Apni Nayi Subah Ki Saugaat Mana,
Par Na Jane Kyoun Usi Chehre Ne Mujhe Andhkaar Me Jhok Dala,
Mai To Us Chehre Ki Ranginiyat Ka Indra-Dhanush Tha Dekhna Chaha,
Par Na Jane Kyoun Us Chehre Ne Mere Pyar Ka Tiraskaar Hi Kar Dala.

Sikayat Ye Nahi Ki Us Chehre Ne Diya Mujhe Sare-Aam Dhokha,
Sikayat Ye BHi Nahi Ki Nahi Mana Us Chehre Ne Pyar Ko Anokha,
Sikayat To Bas Itni Hai Ki Kyoun Khela Wo Chehra Mere Jajbaaton Ke Sath,
Jab Nahi Nibhana Tha Pyar To Kyoun Dikhlaya Mere Sang Apna Jhoota Sath.

Insaani Chehra Rang Badalta Hai Ye Maine Suna Tha,
Par Pyar Har Berang Me Rang Hai Bhar Deta, Ye Bhi Maine Suna Tha,
Mai To Bas Prakriti Ke Anokhe Tofhe Ko Prakirtik Roop Se Tha Sarah raha,
Par Na Jane Kyoun Wo Chehra Suruaat Se Sirf Mera Majak Hi Tha Uda Raha.

Par Gila Nahi Aee Mohabaat, Tujhse Bichad Jane Ki,
Kyounki Hum Aaj Bhi Apne Pyar Ki Sacchai Pe Vishwas Karte Hain,
Bhale Hi Wo Chehra De Gaya Hume Daga,
Par Aaj Bhi Hum Us Chehre Ki Muskurahat Ki Kamna Karte Hain.

Dhoke Ka Tod Dhoka Nahi Hai Hota,
Dhoke Ko Sirf Pyar Hi Hai Todta,
Sabse Jada Mohabbat Karo Us Chehre Se Jisne Diya Ho Tumhe Sabse Bada Dhoka,
Taki USe Bhi Sharm-e-Aihsaas Ho Jaye, Ki Pyar Wakai Me Hota Hai Anokha!!!!

Saturday 15 February 2014

Happy Valentines Day 2014

Mohabbat wo nahi jo sirf chahna sikhaye,
Mohabbat to wo hai jo aapko samarpan sikhaye,
Mohabbat nahi sikhati aapko kisi ke liye swarthi ban-na,
Mohabbat to hai sikhati apno ke liye balidaan karna.

Uun to mohabbat ke kai rang pratyaksh hain,
Kahin Karuna to kahin Dukh late ye Mohabbat ke nakshta hain,
Mohabbat karo to aisi ki samne wala aapko bhula na paye,
Aur agar khush hai wo aapse door, To dekhna kahin aap uske najdik na jale jaye.

Mohabbat me kabhi abhilashayen aur sikayaten nahi hoti,
Mohabbat me sada samajh aur propkari hai hoti,
Kisi ko apna sab kauch kahna aur manna bada aasan hota hai,
Lakin jab baat aaye nibhane ki, To ache achon ka imaan dol jata hai.

Mohabbat to rab ki banai ek shaandaar pesh-kash hai,
Jisme Purush-Prakariti ke milan ka samawash hai,
Mohabbat me sirf pana nahi hai hota,
Mohabbat me to sab kuch lutana hota hai.

Apne gamon ko chupa apne pyar ko jo hansa jaye, wo mohabbat hai,
Apko hansane wale ke dil me chupa dard aapko dikh jaye, to wo mohabbat hai,
Mohabbat me bina kahe hi jaan li jati hai dil ki muraad,
Mohabbat me duriyan ko kam jati hai apne kisi khass ki yaad.

Mohabbat ko sada dil se nibhana, to imaandaar kahlaoge,
Mohabbat me dii agar swarth ko prathmikta to,
Apne pyar ki najar me hi gir jaoge.

Bas yaad rakhna, prakirtik bhaw ko agar manwiy roop se agar tumne cheda,
To parkriti ki kahar se nahi bach paoge,
Aur agar samajh mohabbat ki paribhasha nibha gaye usse,
To is dharti ke sabse ameer insaan ban jaoge.

Monday 3 February 2014

Bas Itni Si Chahat

Kisi ke chehre ki muskurahat banu, bas itni  si chahat rakhta huin,
Kisi ko apne pyar me sajda karub, bas itni si chahat rakhta huin,
Kisi ke armanon ki aas banu, bas itni si chahat rakhta huin,
Kisi khas ke dil me basu, bas itni si chahat rakhta huin.

Un to ishq ne karaye hain bahunton ko dard ka aihsaas,
Ache-se-Ache aashiq ko banaya Ishq ne hai Devdaas,
Par mai kisi ko sacche ishq ka matlab huin batana chahta,
Kisi ki khushi ka ekmaatra maksad ban, garv mahsus huin karna chahta.

Kisi ko apne dil ki baat sunana chahta huin,
Kisi ke dil ki baat gambheerta se sunna chahta huin,
Kisi ke jiwan me sakaratmakta lana chahta huin,
Kisi ko apne jiwan me la, apni jiwan-shailli sudharna chahta huin.

Kisi ko khush rakhne ki khwaaish liye,
Khoj raha huin apni kismet ki Rani ko,
Apni Rani ka Raja ban,
Sara samarajya uske naam kar dena chahta huin.

Kisi ke dukhon ko har uski khushi ka karan banna chahta huin,
Kisi ke awgunon ko har, use sarv-gun sampan banana chahta huin,
Kisi ko apne pe haq jatane dena chahta huin,
To kisi ke dil pe mai khud apna haq jatana chahta huin.

Kisi ke nindon ko chura uske sunhare sapnon me aana chahta huin,
Kisi ke din me bite raton ki yadon ko taro-taja karna chahta huin,
Kisi ke sath raton ka na khatm hone ki dua karna chahta huin,

Kisi ko apna Jiwan samarpit kar, use Jiwan-Sangini banana chahta huin.

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...