Monday 28 January 2013

Veer Sainik

Himalay Ki Bulandi Se Ek Aawaj Di Sunai,
Kaho Maaon Ko De Bete Aur Kahon Bahno Ko De Bhai,
Aaj Desh Ki Baagdor Yuwaon Ke Hath Hai,
Aao Ekjut Hokar Dikhayen Ki Hum Sab Ek Sath Hai.

Sarhad Pe Sainikon Ka Jajba Kabil-e-Tarif Hai,
Desh Ke Prati Unka Samarpan Sarwopari Hai,
Aao Unke Balidaan Ka Hum Karen Samman,
Apne Desh Ko Sabhi Chetron Me Hum Sab Milkar Banaye Sarva-Saktimaan.

Sainikon Ne Sada Diya Desh ko Mahatwa Hai,
Fir Bhale Hi Unhe Bhoolna pada Ho Apne Pariwar Ke Prati Kartawya Hai,
Sainiko Ne Apni Maaon Ki God Me Kabhi Lori Nahi Suni,
Par Bharat Maa Ki Ek Bhi Lori Nahi Ki Ansuni.

Sainik Bhale Hi Apni Bahan Ki Rakhi Ko Hai Bhoola Jata,
Par desh ki Raksha me Kahi Bhi Kasar Nahi Chodta,
Sarhad Par Jaan Ki Baji Laga, Wo Sada Rahta Hai tainaat,
Fir Chahe Use Kai Mahino Tak Na Mile Apni Patni Se Karne Ko Baat.

Sainik Ki Sahadat Ki Dastan Hai Badi Nirali,
Wardi Ki Maryada Ki Khatir Bhale Pad Jaye Apni Jaan Gawani,
Desh Aur Tirange Se Upar Uska Koi Bhagwaan Nahi Hota,
Isiliye Sayad Marne Ke Baad Bhi Sainik Amar Hai Hota.

Aaj Hum Khush hai kyoki Sarhad Par Sainik Apna Gum Chupaye Hai,
Sare Risht-e-Nate Ko Bhoolakar Wo Dushmano Ko Loha Manwaye Hai,
Aisa Nahi Ki Sainikon Ki Nahi Hoti Jawani,
Par Sab Kuch Bhoola Sainik Deta Hai Desh Ke Liye Kurbaani!!!

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...