Sunday 27 January 2013

Desh Prem

Mere Desh Pe Koi Kar Nahi Sakta Aahat,
Kyoki Mere Desh Ka Naaam Hai Bharat,
Yahan Viron Ki Gadhayen Sunai Jati Hai,
Desh Par Mar Mitne Ke Jajbaten Dikhlai Jati Hai.

Ab Yuva Pidhi Desh Ko Sambhalne Ko Taiyaar Hai,
Ab Koi Bhi Yahan Nahi Kar Sakta Atyachaar Hai,
Janta Janardan Ka Jagna Desh Ki Ab Pehchaan Hai,
Aur Ab Har Koi Yahan Garv Se Hai Jeeta, Kyoki Is Desh Ka Naam Hindustan Hai.

Desh Pe Mar Mitne Ka Jajba Har Koi Apne Dil Me Pale Hai,
Bhale Katinayion Ke Ghire Badal Bahut Kale Hai,
Par Ab Deshwasion Ki Akhandta Uar Ekta Apne Sikhar Pe Hogi,
Jo BHi Humse Takraega Uski Halat Bahut Kharaab Hogi.

Hamare Desh Ne Har Chetra Me Apna Parcham Lahraya Hai,
Baki Sabke Sath Kandhe Se Kandha Milakar, Aur Jarurat Padne Par Aage Nikal Bhi Dikhaya Hai.
Ab Desh Ko Aur Majboot Karne Ke Liye Anduruni Dimakon Se Nijad Karana Hoga,
Corruption Ko Apne Niv Se Todkar, Is Desh Ko Sarwopari Banana Hoga.

Aaj Desh Ke Saput Dusre Deshon Ki Kamyaabi Ki Sej Hai Rach Rahe,
Apne Desh Ko Na Jane Kyoun Wo Andheka Hai Kar Rahe,
Mat Bhoolo - Har Koi YAhi Se Sona Lejakar Aaj Apne Desh Ko Hai Chamka Raha,
Are Bharatwasion Jara Piche Mud Kar Ke Dekho Tumhara Desh Tumhe Bula Raha.

Sab Kuch Jhel Kar Bhi Ye Desh Aaj Apni Garima Banae Hai,
Akela Jujh Raha Hai Par Nahi Li Kisi Garib Ki Hai Hai,
Agar Sabhi Deshwasi Aaj Ekjuta Aur Desh Ke Vikash Ka Prana Le,
Aur Jo Desh Chod Chale Gaye, Wo Bhi Bharat Ke Prati Kuch Pran Le,
To Is Bharat-Warsh Jaisa Khush-haal Desh Duja Koi Na Kahlayega,
Aur Jo Bharat Ki Dharti Pe Janmega, Wo Khushi Aur Garv Se Desh Ke Liye Mar Jayega.

1 comment:

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...