Tuesday 15 January 2013

Ajnabi Ka Dokha

Ajnabi Se Mila To Wo Pal Mulaqaat Kahlai,
Na Jane Kab Wo Ajnabi, Mere Dil Me Samai,
Aaj Uski Sanse Meri Dhadkano Ko Poshit Karti Hai,
Kal Tak To Thi Wo Ajnabi, Aaj Na Jane Kyon Apni Si Lagti Hai.

Pyar Me Mujhe Tha Hi Nahi Yakin, Fir Bhi Kar Baitha,
Jis Ajnabi Ko Janta Tak Nahi, Use Hi Tha Apna Dil De Baitha,
Par Mukaddar Ke Sikhar Par Bhi, Sikandar Hai Hara Karte,
Aashiqi Gawah Hai Ki Isme Kai Hai Jite Aur Kai Hain Hara Karte.

Samaj Mohabbat Ke Sada Raha Khilaaf Hai,
Yahan Pyar Ko Chodkar Sabhi Galtiyan Maaf Hai,
Par Fir Bhi Aashiq Sirf Pyar Ke Liye Jamane Se Hai Lad Jata,
Aur Apna Sab Kuch Bas Us Ek Ajnabi Ke Liye Hai Gawan Jata.

Par Dil Ko Sabse Jada Dilruba Ki Berukhi Hai Satati,
Jab Dil Karta Hai Uspe Vishwas Aur Wo Vishwas Ghat Hai Kar Jati,
Fir Ek Bar Aashiq, Pyar Bachane Ki Khatir Jhuk Bhi Hai Jata,
Par Tab Dilrubaron Ko Ruthe Aashiq Ko Manane Bhi Hai Nahi Aata.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...