Thursday 24 January 2013

Mera Desh - Meri Mashuka

Uske Naino Me Maine Khud Ke Liye Pyar Dekha Hai,
Uske Dil Me Maine Apne Liye Pyar Beshumaar Dekha Hai,
Uski Khushi Hai Ki Mai Bas Uska Ho Kar Rah Jaun,
Uske Sapno Se Nikalkar Mai Haqiqat Me Uska Aashiq Ban Jaun.

Usko Pyar Karna Meri Chahat Hai,
Lakin Apne Pyar Ka Izhaar Na Karna, Meri Sararat Hai,
Uski Aankhon Me Khud Ki Chawi Ko Dekhta Huin,
Karta Huin Usse Pyar Lakin Kahne Se Darta Huin.

Pyar Se Jada Uski Khushi Mere Liye Mahattwa Rakhti Hai,
Aur Wo Bhi Mere Bin Kahan Rah Sakti Hai,
Ye To Hum Dono Ki Himmat Ki Pariksha Hai,
Dekhna Hai Dono Me Pahle Pyar Ka Izhaar Kaun Karta Hai.

Uske Dil Me Mai Apni Jagah Uski Marji Se Huin Pana Chahta,
Aur Mai Pahle Kaise Bol Duin, Uski Marji Bhi To Mai Nahi Janta,
Uski Aankhon Me Maine Apne Liye Pyar Dekha Hai,
Lakin Ye Kaise Manu Ki Jo Maine Dekha Wahi Saccha Hai.

Isi Asamnjas Me Pade Mai Aanhe Bharta Huin,
Uski Khushi Ke Liye Usse Mohabbat Karta Huin,
Par Meri Mashuka Ko Kai Jalim Nazron Se Bachana Hai,
Aap Koi Galatfahmi Na Rakhna, Mera Desh Bharat Meri Mashuka Hai - Ye Sabko Batana Hai.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...