Wednesday 26 September 2012

Dosti - Ek Anoka Rishta

Zindagi Ki Rahon Me Nikal Pada Tha Akela,
Kisi Dost Ki Thi Talash Par Kismat Ne Mujhe Tanhai Me Dhakela,
Fir Bhi Ladte Hue Mai Tanhai Se Lad Gaya,
Anjaano Se Mil Jul Kar, Apna Dost Khojne Laga.

Zindagi Badhi, Rahe Badli, Aur Mulaqaton Ka Silsila Suru Hua,
Kaiyon Ne Mujhe Kiya Prabhawit, To Kayion Pe Mera Prabhav Hua,
Par Ab Bhi Dil Kisi Aur Ki Talash Tha Kar Raha,
Jane Kaise Gun wale Ko Tha Khoj Raha.

Tabhi Zindagi Me Ek Insaan Se Mulaqat Hui,
Aisa Laga Jiwan Me Pahli Baar Kisi Se Mil Kar Khushi Hui,
Naam Puchne Par Usne Khud Ko Dost Bataya,
Mere Dil Me Apna Ek Vishesh Jagah Banaya.

Bure Waqt Me Diya Sath, Aur Ache Me Khoob Maja Karaya,
Galti Kar Ne Par Usne Waqt Rahte Mujhe Sahi Rah Dikhaya,
Us Din Mere Dil Ko Bahut Mila Sakoon,
Shant Jo Ho Chuka Tha Mere Dil Me Dost Banane Ka Junoon.

Ishwar Har Insaan Ko Ek Sache Dost Se Nawaje,
Jo Dosti Ka Matlab Khoob Achi Tarah Pahchane,
Zindagi Me Dosti Se Bada Koi Rishta Nahi,
Dost Na Ho To Zindagi Me Koi Ras Nahi.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...