Friday 28 September 2012

Shadi Ka Ladoo - Khayen To Khayen Kaise

Shadi Ka Bhandhan Sabse Hasin Hai Mana Jata,
Jisme Ek Hasina Se Aapka Rishta Hai Joda Jata,
Shadi Ka Wo Mauhol Koi Bhi bhool Nahi Pata,
Kisi Ko Ghodi Pe To Kisi Ko Doli Me Hai Bithata.

Par Shadi Ka Matlab Yahi Hota To Sab Aaj Khush Hote,
Bibi Se Pati Ka Aur Pati Se BibiKe Rishte Bahut MAdhur Hote,
Is Kalyug Me Kisi Ki Najar Lag Gayi Is Rishte Ko,
Taiyaar Hi Nahi Hai Shadi Ke Baad Ek Dusre Ko Samajhne Ko.

Pati Ka Wo Ghar Der Se Aana,
Bibi Ko Office Me Koi Jaruri Kaam Batana,
Patni Ka Pati Se Shoping Ke Liye Kah Kar Jana,
Aur Club Me Jakar Uun Thumke Lagana.

Kahin Na Khain Vishwas Khatm Hota Hai Ja Raha,
Bhagwan Ke Banaye Rishton Ke Sath Insaan Hai khilwad Karta Ja Raha,
Agar Apne Apne Hamsafar Ko Samajh Le Har Koi,
To Ghar Me Hongi Sirf khusiyan Aur Dur Rahe Ruswai.

Aaj Mai Sabhi Shadi Shuda Logon Se Karta huin Gujarish,
Sabhi Shadi Shuda Logon Ki Khushi Ke Karta Huin Rab Se Sifarish,
Aap Logon Ka Pyar Hi Aapki Zindagi Ko Sawar Sakta Hai,
Warna Is Duniya Me Har Koi Dusre Se Jala hi Karta Hai.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...