Wednesday 26 September 2012

Mahngai - Khushi Se Judai

Aaj Har Taraf Charcha Sirf Mahngai Ka Hai,
Har Cheej Ke Damon Ki  Chuti Unchaai Ka Hai,
Aaj Har Insaan Garibi Ki Maar Hai Sah Raha,
Koi Bhooka To Koi Bina Chat Ke Hi So Raha.

Mahngai Ne Har Insaan Ki Kamar Hai Tod Dali,
Aamdani Se Jada Kharch Ki Chinta Ne Insaan Ki Nind Hi Hai Bhaga Dali,
Ab To Har Insaan Bas Apna Jiwan Hai Kaat Rata,
Mahngai Kam ho Jai Bas Ishwar Se roj Yahi Dua mang Raha.

Aaj Gas-Diesel-Petrol Ki Mahngai Aasman Ko Chune Ja Rahi,
Desh Ki GDP Ko Sharm Se Jhooka Rahi,
Jagurta Aur Desh Prem Ko Fir Se Karna Hoga Hame Bahaal,
Jo Kam Kar Jayen Is Mahngai Ko Dikhate Hue Apna kamaal.

Aao Milkar Desh Ke Liye Bhi Hum Do Minute Soche,
Mahngai Se Picha Chudane ke Liye Sahi Kadam Chune,
Aaj Sawal Desh Ko Paripaqwata Dilane Ka Hai,
Desh Ki Pragati Swarup Kadam Uthane Ka Hai.




No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...