Thursday 27 September 2012

Samay - The Time

Samay Kya Hai? Samay Kiska Hai?
Aise Sawalon Ne Pata Nahi Kyoun Tha Mujhe Gher Rakha,
Samay Ki Paribhasa Se Ho Sake Mera Ru-b-a-roo,
Isiliye Mere Ashant Man Ne Tha Mujhe Kachot Rakha.

Samay Ki Samajh, Agar Samay Rhate Aa Jati,
To Is Dharti Pe Kabhi Dukh Na Aate,
Samay Ki Talim Agar Aasani Se Samajh Aa Jati,
To Yahan Raja-Runk Aur Runk-Raja Na Ban Jate.

Samay Ki Gawahi To, Khud Samay Bhi Nahi Deta,
Agar Chuk Ho Jai Thodi Si To Sab Kuch Hai Cheen Leta,
Samay Ki Maar Se To Koi Bhi Bach Nahi Paya Hai,
To Bhi Aaj Taraqqi Ki Unchai Pe Hai, Wo Samay Ke Sath Hi Gaya Paya Hai.

Samay Pe Jor Jabardasti Chalti Nahi,
Samay Ke Raaj Me Bandhua Majdoori Chalti Nahi,
Samay Ko Uska Palan Karke Hi Hai Jeeta Ja Sakta,
Warna Samay Ko Koi Bhi Parajit Nahi Kar Sakta.

Ab to Vigyan Bhi Jut Gaya Hai Samay Ko Janne Me,
Samay Ke Upar Aavishkaron Ko  Unnati Dilane Me,
Par In Sab Se Pahle Hame Samay Ko Wo Tawaju Deni Hogi,
Warna Samay Pe Ki Hui Phd Kisi Ki Bhi Kamyaab Nahi Hogi.

Waqt Rahte Hame Khud Ki Samay Se Pehchaan Badhani Hogi,
Mahngai Simayen Langh Jayen Isse Pahle USe Ghatani Hogi,
Aao Uthaen Kadam Aur Tay KArle Sari Duriyan,
Warna Waqt Gujarne Ke Baad Hoti Hai Sabki Apni Apni Majburiyan.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...