Thursday 28 March 2013

Premika Sang Meri Pahli Holi

Kal Meri Premika Sang Thi Meri Pahli Holi,
Par Mere Aantrik Man Yudh Me Chal Rahi Thi Anekon Goli,
Mai Apni Premika Ko rangon Se Sarabore Karne Ko Taiyaar Tha,
Par Kaun Sa Rang Kharidun Uske Liye Isi Baat Se Mai Preshan Tha.

Uske Chehre Ki Gorai Par Kahan Tha Koi Rang Chadne Wala,
Jo Bhi Rang MaltaMai Uske Galon Par Wo Uski Gorai Ke Samne Tha Fika Pad Jane Wala,
Uske Hothon Ki Gulabi Mere Laal Rang Ko Kar Rahi Thi Fika,
Aur Gori Premika Ke Liye Hota Hai Mushkil Rang Kharidna - Ye Maina Tha Sikha.

Premika Ke Naino Ka Kajal Mere Kale Rang Se Jyada Prabhawshali Tha,
Uski Muskurahat Ki Sadgi Ke Samaksh Mera Swet Rang Bhi Khali Tha,
Premika Ka Wo Itrana Charon Taraf Hariyali Faila Gaya,
Aur Kya Malta Mai Uspe Hara Rang - Jo Lagne Se Pahle Hi Apni Haar Maan Gaya.

Apne Rangon Ko Harte Dekh Mai Padne Laga Nila,
Muje Nila Dekh, Fika Pad Gaya Mera Rang Pila,
Par Mai Bhi Kahan Aashiqi Me Harne Ko Taiyaar Tha,
Premika Sang Khelni Thi Holi Is Baat Se Mai Mukarne Ko Na Taiyaar Tha.

Maine Sare Rangon Ko Fek, Premika Ko Bahon Me Kas Liya,
Uski Aankhon Ki Gahrai Me Maine Khud Ko Duba Diya,
Uski Nanon Ke Aagosh Me Gote Laga Maine Kiya Use propose,
Chumte Hue Use Maine Bhet Kar Diya Apna Pyar Rupi Rose.

Mere Pyar Ko Kar Mahsus Wo Machal Uthi,
Mere Sang Apne Pahli Holi Par Na Jane Kyon Wo Bhawuk Ho Uthi,
Boli Sach Kahte Hain Ki Holi Rangon Ka Tyohaar Hai,
Jisme Rangon Ke Jariye Karte Pyar Ke Aadan-Pradan Ka Vyawhaar Hain.

Uski Bhawukta Ke Swar Mujhe Sukh Ki Anubhooti Karwa Gaye,
Pyar Ke Ranginiyat Ka Arth Muje Samjha Gaye,
Isiliye Mai Aaj Sabse Pyar Ko Badhawa Dene Ko Kahta Huin,
Aur Holi Ko Pyar Ke Rangon Se Khelne Ki Salah Deta Huin.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...