Tuesday 9 April 2013

Mera Hunar

Aakash Se Kah Do Ki Wo Aur Unche Uth Jayen,
Kyonki Hum Uncha Udne Ka Hunar Jante Hain,
Jamane Se Kah Do Ki Hamen Na Aajmayen,
Kyoki Hum Apni Mohabbat Me Kayal Karne Ka hunar Jante Hain.

Ye Sard Hawayen Hamen Kya Thitoringi,
Hamare Tej Ke Samne Wo Khud Thitur Jayengi,
Koshish Karengi Wo Hamen Barf Ki Tarah Jamane Ki,
Par Takrakar Hamse Pani Ban Khud Apni Jag Hansai Karwayengi.
Sard Hawaon Se Kah Do Ki Wo Hamare Tej Se Na Takrayen,
Kyonki Hum Apni Garmi Se Pighlane Ka hunar Jante Hain.

Ruk Ja Ae Aag Aur Bhool Na Kar Mujhe Jalane Ki,
Kahin Aisa Na Ho Jaye Ki Mere Tej Se Naubat Na Aa Jaye Tere Jhulas Jane Ki,
Bhool Se Bhi Mujhe Chune Ki Bhool Na Karna,
Warna Pad Jayega Tujhe Meri Shitalta Se Haar Ka Swad Chakhna,
Is Aag Se Kah Do Ki Band Karde Uun Dusron Ko Jalana,
Kyonki Hum Rulakar Aansuyon Se Dil Ki Aag Ko Bhujhane Ka hunar Jante Hain.

Samundra Se kah Do Ki Naj Na Karen Apne Lahron Ke Tej Par,
Kyonki Hum Lahron ke Virudh Bhi Tairne Ka Hunar Jante Hain,
Insanon Se Kah Do Ki Tyag De Ye Chal-Kapat,
Kyonki Hum Murdon Ki Bhi Dil Ki Baat Padhne Ka Hunar Jante Hain.

Ye Khudi Par Vishwas Hi Hai Jo Insaano Me Swabhiman Bharta Hai,
Insaan Ko Samaj Ki Ku-Ritiyon Ke Prati Ladne Ka Sahas Deta Hai,
Ab Baaj Aa Jao Ae Jalim Samaj Ke Darindo Apni Swarthmayi Harkaton Ko Karne Se,
Kyonki Hum Saitanon Ko Insaan Banane Ka Hunar Jante Hain.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...