Thursday 28 March 2013

Happy Holi

Tyoharon Ka Raja Hai Holi,
Jisme Har Kisi Ke Chehre Pe Sajti Hai Rangoli,
Chedkaniyon Aur Majak Se Khilti Holi Ki Saaj Hai,
Aur Chedkaniyon Ke Baad Har Koi Hai Yahi Kahta - Bura Na Mano Holi Hai.

Holi Ke Rangon Me Jiwan Ki ranginiyat Ka Samawesh Hai,
Holi Fiki Padi JIndgani Me Rangon Ka Prawesh Hai,
Holi Ki Madhoshi Har Kisi Ko Nashe Me Duboti Hai,
Chehre Chahe Jis Rang Ke Bhi Ho, Rangon ke Malne Ke Baad Har Kisi Ko Khoobsurat Banati Hai.

Holi Ka Har Rang Jiwan Me Ek Nayi Khushi Ka Parichayak Hai,
Holi Udasin Hoti Ja Rahi Insaniyat Ko margdarshit Karne Wala Nayak Hai,
Holi Sansar Me Ekjut-ta Lane Ki Nayika Hai,
Aur Sayad Yahi Soch Rakh Itihaas Me Jali Holika Hai.

Aao In rangon Ke Jariye Jiwan Ko Khushaal Karen,
Dusron ke Jiwan Me Rang Bhar Kuch chan Ke Liye Mahan Bane,
Mahanta Ki Parikashta Prakriti Ke Sarankshan Me Vidyamaan Hai,
Sukhdai Holi Ka Mulmantra Prakrutik Rangon Ka Gyan Hai.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...