Wednesday 26 December 2012

Uske Dukhi Hone Ka Darr

Mai Pyar Ko Talaashta Kahin Bhatak Raha Tha,
Na Jane Kyoun Par Har Kisi Se Pyar Pane Ki Aas Kar Raha Tha,
Nahi Tha Mujhe Malum Ki Pyar To Mil Kar Bhi Nahi Milta,
Bada Ho Nasib To Hi Pyar Ka Asli Sukh Hai Prapt Hota.

Meri Fariyaad Jada Din Ansuni Nahi Rah Payi,
Khuda Ne Meri Aarjoo Ko Sunte Hue, Mujhe Meri Premika Se Mulaqaat Karwai,
Mai Pahli Hi Najar Me Use Dil De Baitha,
Atal Tha Jigra Mera Par Uske Samne Sab Kuch Apna Haar Baitha.

Uska Wo Apnapan Mujhe Bhane Laga Kuch Is Kadar,
Ki Mai Bhi Apne Kamon Me Machane Laga Gadar,
Uske Aane Se Meri Zindagi Bhi Sawarne Lagi Thi,
Uske Prati Meri Chahat Bahut Umadne Lagi Thi.

Dil To Us Din Dukha Jab Uski Ma Ko Hamare Pyar Ki Malumaat Hui,
Mere Pyar Karne Ki Wajah Se Meri Mashuka Ki Khoob Pitai Hui,
Us Din Mai Is Duniya Ka Sabse Bada Swarthi Ban Baitha,
Usne To Sada Hi Di Mujhe Kushi Aur Mai Use Dukh De Baitha.

Mere Pyar Ko Uski Ma Smajh Nahi Rhai Thi,
Mere Samaksh Samaj Ke Tane Rakh Rahi Thi,
Meri Mashuka Ki Aankho Se Bahte Ashruyon Ne Mujhe Bhi Khoob Rulaya,
Mujhe Meri Hi Najron Me Bahut Niche Giraya.

Mashuka Ne Ma Ko Daga Dene Se Kiya Inkaar,
Mere Sath Bhagne Ko Bhi Kiya Inkaar,
Mai Uski Khushi Ke Liye Uski Zindagi Se Bahut Door Chala Jaunga,
Namonisan Mit Jaye Mera Isiliye Uske Sapne Me Bhi Kabhi Nahi Aaunga.

Pyar Me Kai Baar Balidaan Bhi Dena Padta Hai,
Is Samajh ki Khatir, Pyar Ko Kurbaan Bhi Karna Padta Hai,
Aaj Nam Aankhon Se Mai Sayad Apne Dard Ko Kagaj Par Utaar Jaun,
Par Ji Nahi Paunga Uske Bin Ye Usko Lakin Kaise Bataun...!!!

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...