Wednesday 5 December 2012

Teri Aankhon Ka Aansu Mujhse Dekha Nahi Jata

Teri Aankhon Ka Aansu Mujhse Dekha Nahi Jata,
Tujhe Bhula Sakun Aisa Kabhi Khyaal Hi Nahi Aata,
Tujhse Pyar Kiya To Pata Chala Ki Zindagi Me Khushi Ka Aana Kya Hai,
Aur Jab Tu Door Chali Gayi To Pata Chala Ki Pyar Me Bichardne Ka Dard Kya Hai.

Teri Khamoshi Mujhe Ab Na Jane Kyon Satati Hai,
Tere Chehre Pe Hansi Ko Dekhne Ke Liye Meri Aankh Taras Jati Hai,
Tu Hai Door Mujhse Par Dil Me Bahut Karibi Banaye Baithe Hai,
Lakin Tujhe Mere Pyar Ki Kadra Kyon Na Hai.

Tere Mere Sang Wo Khusbudaar-Numa Pal Ka Bitana,
Mere Dukhi Chehre Pe Tujhe Dekhkar Wo Muskurahat Ka Aana,
Teri Muskurahat Ka Meri Zindagi Me Youn Kuch Khaas Ban Jana,
Aur Tere Wajood Ka Mere Wajood Me Mil Jana.

Teri Maturity Pe Logon Ne Uthaye Sawal,
Teri Up-Bringing Pe To Khada Hi Ho Gaya Tha Bawaal,
Phir Bhi Na Jane Kyon Tera Bachpana Mujhe Hai Bhata,
Aur Up Hoti Bringing Ke Sath Upar Uthne Ko Hai Ji Chahta.

Tere Sath Ko Mai Apne Jehan Me Kahin Huin Doondh Raha,
Tu Door Hai Mujhse IsiLiye Mera Dil Hai Mujhe Kachot Raha,
Tere Aane Se Shayad Mera Jiwan Sawar Jaye,
Is Garib Ke Zindagi Me Bhi Amiri Ke Din Shayad Aa Jaye.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...