Friday 14 December 2012

Bhulak-Kad

Ek Jamane Me Meri Intelligence Ki Daat Thi Di Jati,
Mujhe Door Se Dekh Kar Hi Salami Thi Thok Di Jati,
Aaj Ka Aalam Kuch Kahar Sa Dha Gaya,
Mujhe Meri Mahbuba Ke Mukh Se Bhulak-Kad Kahalwa Gaya.

Maine Propose Kiya Use Aur Uska Jawab Hi Bhool Gaya,
Usne Kaha Tha Haan Aur Mai Apne Exams Ki Taiyaari Me Hi Jut Gaya,
Is Baat Se Chid-Chidai Mashuka Ne Mujhe Khoob Sunaya,
Bola Nahi Karte Pyar To Bhulak-kad-pan Ko Apna Dhaal Banaya.

Mujhe Bhi Nahi Tha Maloom Ki Mai Short Term Memory Loss Ka Shikar Huin,
Praikhsa Patra Milte Hi Mai Chil-laya Ki Ha Janu Mai Tumse Pyar Karne Ko Taiyaar Huin,
Meri Is Harqat Par Pariksha Hall Se Mujhe Gaya Diya Nikaal,
Fail Hone Ke Baad Mere Jiwan Me Mach Gaya Bawaal.

Meri Mashuka Mujhse Tang Hui Padi Thi,
Kahti Thi Ki Mere Bhulak-kad-pan Ke Chalte Wo Bahut Roi Thi,
Mai Use Yaad Karne Ke Liye Uski Tasweer Sath Me Tha Rakhta,
Aur Baar Baar Uska Naam Tote Ki Tarah Tha Rat-ta Rahta.

Uske Mutabiq Mai Use Sadak Pe Akela Chod Gaya,
Bahanji Koi Takleef Hai Kya - Ye Kah Kar Sambodhit Bhi Kar Gaya,
Par Wo Bichari Mere Upkaar Ke Badle Mujhe Jhel Rahi Thi,
Har 5 Minute Baad Kabhi Mashuka To Kabhi Anjaan Bahanji Ban Rahi Thi.

Aaj Mere Bhoolne Ke Chalte Wo Kisi Aur Se Byah Thi Racha Rahi,
Pyar Se Pahle Wo Swasth Pati Ko Mahatwata Dene Thi Ja Rahi,
Maine Bhi Apni Nam Aankhon Se Use Jane Diya,
Meri Pariksha Me Tu Fail Ho Gayi - Ye Band Hothon Se Maine Use Bayan Kiya.

Mai To Apni Mashuka Ke Pyar Ko Tha Parkh Raha,
Upkaar Ke Badle To Nahi Kar Rahi Thi Pyar - Bas Itna Tha Jaanch Raha,
Pyar Me Hi Hota Hai Murde Ko Jiwit Banana,
Aur Meri To Bas Yaadash Ko Hi Tha Wapas Lana.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...