Tuesday 27 November 2012

Mentor - Dost

Wo subah bhi kuch khas thi,
Meri kismat sayad mere sath thi,
Maine kiya Company me aagaman,
Jane kya soch raha tha mera man,

Maine pahli lift chodkar dusre me kiya pravesh,
Ek ladki se mila, jiska pari jaisa tha aavesh,
Uski khusboo pure lift me cha gayi,
Meri band aankhon se hi nind bhag gayi,

Mere usko dekhne se pahle hi wo muskurai,
Maine apne khus kismati ko di badhai,
Wo boli “Aap Kis team me aa rahe ho?”
“Kaun sa portfolio nibhane jaa rahe ho”

Mere jawab dene se pahle hi,
Lift 6th floor par aa pahunchi,
Meri khusi bas wahin pe simti,
Kyoki unko apne desk pe jaana tha,
Aur mujhe unhe apna jawab batana tha,

Kaam ke bojh tale, wo din bhi chala gaya,
Mera jawab muj tak hi simat kar rah gaya,
Agle din hi maine unko apna mentor banne ka vinti kiya,
Unke darshay raah par khud ko chalane ka bhi wada kiya,


Bas ek chahat lekar mai apni desk par pahunch gaya,
Unse  gyan pane ke liye mera dil dol gaya,
Par halaton ne phir ek baar mujhe dhoka diya,
Unke under kaam karne se pahle mera mentor badal diya,

Na unhone samjhaya, na mai samjha,
Tut gaya mere armanon ka dhancha,
Par wo gum bhi mere liye khusi laker aayi,
Ek pari jaisi mentor se meri dosti karai,

Bas ab mai ek hi tammana rakhta huin,
Apni mentor dost ke liye khusi ki kamana karta huin,
Mere hisse ki khusi bhi use de dena,
Bas badle me uski mentor wali dosti ka saath diwa dena.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...