Tuesday 27 November 2012

DICOM


Ek Din Ek Saksh Ne Mujhse Pucha, Ye DICOM Kya Hai,
Medical Domain Me DICOM Se Aas Kya Hai,
Jawab Mera DICOM Ka USke Dil Pe Cha Gaya,
Digital Imaging and Communications in Medicine” Hai DICOM, Ye Sun Kar Hi Wo Ghabra Gaya.

Waise Jo Bhi Ho DICOM Ki Lila Hai Nirali,
Sukriya Ho NEMA Ka Jisne DICOM Standard Ki Copyrights Hai Sambhali,
DICOM Me Har Implementation Standards Ke Tahat Hai Ki Jati,
Kuch Samajh Me Na Aaye To Sidhe, DICOM Conformance Picyure Mai Hai Aa Jati.

DICOM Naye Rishte Ki Buniyaad Hai,
Handling, Storing, Printing And Transmitting Information in Medical Imaging” Hi To DICOM Ka Kaam Hai,
DICOM Me Pahchaan C-ECHO Dwara Hai Banai Jati,
Called AE Title Aur Server Address Pata Ho Tab Hi, Calling AE Title Ka Namaskar Swikar Hai Ki Jati.

Pahchaan Bante Hi RIS/HIS Server Pariwar Ke Sadasayon Ki Khabar Hai Li Jati,
Scheduled Procedure Start Date Aur Modality Ke Aadhar Par, MWL C-FIND Request Hai Bheji Jati,
Server Pariwar Ke Sadasayon Ki Jankari Se Image Views Ka Pata Hai Chal Jata,
Khushi Ki Baat To Ye Hai Ki MWL Response Ka Use MPPS Query Me Hai Kiya Jata.

MWL C-FIND Request Ki Paribhasa Ko QR C-FIND Request Ne Khoob Samjha,
Study Date Aur Modality Ke Naam Pe QR C-FIND Query Kar Daala,
QR Query Me Hierarchical Aur Relational Model Ki Maang Hai,
Study Aur Series Hi Root Aur Level ki Pahchaan Hai.

QR Retrieve Me Server Se Sadasayon Ke Data Ko Retrieve Hai Kiya Jata,
C-FIND Response Ke Liye Internal C-STORE operation Perform Hai Kiya Jata.
C-STORE operation Se Data Apne Ghar Me Hai Jata,
Phir Usko Import Karke Image Viewer Pe Hai Dekha Jata.

Store Ki Mahima Badi Hi Nyari Hai,
Bure Waqt Ko Jhelene Ki Ye Pahle Se Taiyaari Hai,
Server Pe Sara Data Store Hai Kar Diya Jata,
For Processing” And “For Presentation”  Ke Vibhaag Me Hai Unhe Banta Jata.

Data Ki Samajh Hame Transfer Syntax ID Bhaiyon Se Padti Hai,
Chote Ko “Little Endian” Aur Bade Ko “Big Endian” Ki Tawajju Milti Hai.
Negotiation Jis ID Ke Sath Propose Kiya Jai, Uski Hi Chala Karti Hai,
Dusra Koi Transfer Syntax ID Agar Aa Jaye, To Usse Sada Haar Hi Milti Hai.

Store Server Pe Storage Ki Dua Kabool Ki Jati Hai,
Prasad Ke Rup Me Commitment Wapas Aati Hai.
Pahle Commit SCU, Apni Bhakti Se N-ACTION Request Hai Bhejta,
Phir Association Todkar, Apne Kaam Me Hai Lagta.

Dua Kabool Ho Jane Par, Commit Server Khud Hi Bhakt Ko Bulata Hai,
Commit Server Ke Dwar Se Bulawa N-EVENT REPORT Request Kahlata Hai.
Bhakt Apni Khusi Ko N-EVENT REPOSRT Response se Nawajta Hai,
Commitment Ki Acknowledgement Ko, Database Me Entry Karwata Hai.

Bahri Duniya Se Milap Print Ki Shaan Hai,
Jo Dikhta Hai Wahi Bikta Hai, Yahi Uski Pachaan Hai,
Sari Processing Kar Ke Print DICOM File Pe Hai Khelta,
Printed Film Ko Study Karke Har Radiologist Khushi Se Hai Jhumta.

Ant Me MPPS Ke Procedures Se Sama Rangin Hai Ho Jata,
N-SET Aur N-EVENT Apna Khoob Hai Rang Dikhata,
MPPS Server Se Procedures Ki Sari Jankari Hai Mil Jati,
Bas Association Timeout Na Ho Jaye, ISiliye MPPS Server Ki Connectivity Hai Check Ki Jati.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...