Monday 26 November 2012

Image Processing


Jab Duniya Ko Dekha, Tab 3-D Ki Bhasha Samajh Aai,
Aur Jab 3-D Objects Ko 2-D Me Dekha, To Wo Image Kahlai,
2-D Image Me 1-D Ki Information Hai Kho Jati,
Sayad Yahi Wajah 3-D Images Ki Aawashyakta Ko Hai Badhati.

Images Ko Kai Prakar Se Classify Hai Kiya Jata,
Binary, Grey Scale Aur Colour Me Mukhyatah Vibhajit Hai Kiya Jata,
Images Ka Storage Bhi Format Me Hai Kiya Jata,
BMP, TIFF, JPEG, GIF Aur PICT Se Unko Hai Nawaja Jata.

Image EnhancementSpatial Aur Frequency Domain Me Hai kiya Jata,
Image Enhancement Ke Dwara Image Ki Subjective Quality Ko Hai Badhaya Jata,
Spatial Domain Me Image Raw Data Ke Sath Ched-Chad Hai Ki Jati,
Frequency Domain Me Fourier, Butterworth Aur Gaussian Babaon Ki Khoob Puja Hai Ki Jati.

Alag-Alg Masks Ke Sath Image Processing Ko Hai Nikhara Jata,
Neighborhood Processing Ki Parikashta, Masks Hi Hai Badhata,
Agar Masks Ne Apni Mahatwapurn Bhumika Na Nibhai Hoti,
To Spatial Aur Frequency Domain Filters Ki Samajh, Kahan Kisi Ko Aai Hoti.

Image Segmentation Me Image Ko Regions Me Hai Bata Jata,
Image Analysis Ke Liye Ye Sara Beda Hai Uthaya Jata,
Intensity Me “Similarity” Aur “Discontinuity” Hi Segmentation Karne Ke Prakar Hai,
Image Feature Extraction” Pe Hi Segmentation Ki Jaan Nisar Hai.

Discontinuity Ke Aadhar Pe Point, Line Aur Edge Detection Hai Ki Jati,
Edge Detection Me Prewitt Aur Sobel Filetrs Ke Smoothing Effect Ki Gathayen Hai Sunai Jati,
Edge Linking Aur Curve Detection Me, Hough Transform Ka Jawab Nahi,
Region Growing Aur Region Splitting &Merging Ke Bina Segmentation Ki Paripakwata Nahi.  

Image Processing Me Morphology, Regions Aur Shapes Ki Gawah Hai,
Dilation Jahan Pixels Ko Add Karti, Wahan Erosion Me Pixels Reduction Ki Kahan Kise Parwah Hai,
Erosion Ke Baad Dilation Ho Jaye, To Opening Hai Kahlaati,
Aur Kahin Dilation Ke Baad Erosion Ho Jaye, To Sari Kahani Closing Me Hai Badal Jati.

Magar Is Mahngai Ke Jamane Me, Image Compression Jaruri Hai,
Redundant Aur Irrelevant Data Ka Nikalna Bahut Jaruri Hai,
Error Criteria Lossy Compression Ke Performance Ki Jaan Hai,
Ab Tak to Aap Sab Samajh Gay Honge, Ki Kyon Image Processing Skill Set Itni Kaamyaab Hai.

3 comments:

  1. Nice Poetic Lines....
    Will be really great tohave them in books for easiear understanding.

    ReplyDelete
  2. Inspirational Way of spreading teachings!!!
    Great Going, Sir!

    ReplyDelete

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...