Manager Aur Management Bade Hi Parai Sabd Hain,
Zindagi Me Kabhi Khushi To Kabhi Dukh Late Ye Labz Hain,
Manager Kisi Ka Bhi Nahi Hota,
Aur Management Har Manager Se Nahi Hota.
Har Manager Ko Apni Management Khud Par Hi Lagu Karni Hogi,
Jo Ideas Hain Jahan Me Use Khud Ki Hi Swikruti Deni Hogi,
Kyoki Management Kahin Galat Hua, To Kaiyon Ko Tabaah Karta Hai,
Manager To Post Ke Dum Par Bach Jata, Par Team Ko Harjaana Bharna Padta Hai.
Har Manager Jo Apni Khudi Me Jite Hue,
Bas Aaj Me Jiye Karta Hai,
Wo Manager Ho Nahi Sakta,
Kyoki Acha Manager To Aksar Kal Bhaap Liya Karta Hai.
Manager Ki Paribhasha To Books Bhi Byan Nahi Kar Paaye,
Management Aisi Hai Jo Kisi Ko Post Dekar Aur Kisi Ko Ucch Vichaar Dekar Manager Hai Banati,
Manger Ko Bas Apne Faide Ki Rahti Hai Padi,
Fir Chahe Dikhani Pad Jaye Use Apne Vyaktitwa Ki Burai.
Lakin Sama Hamesha Aisa Rah Nahi Sakta,
Management Sahi Karke Udhaaran Bhi Hai Pesh Kiya Ja Sakta,
Aao Khud Ko Sanyojit Kar, Ek Ache Management Ki Niv Rakhen,
Planning Ko Behtar, Execution Ke Baad Ache Results Ki Aas Rakhen.
Managers Ko Kitabi Knowledge Se Bahar Aakar Kuch Chamatkaar Karna Hoga,
Mangement Ko Sahi Samajhte Hue Productive Outcomes Dena Hoga,
Warna Logon Ka Manager Sabd Se Vishwaas Uth Jayega,
Aur Is Corrupt Samaj Me Managers Ko Netaon Se Compare Kiya Jayega.
Wednesday, 19 December 2012
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Happy Diwali 2019
दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...
-
Jiska ho raaj chalti usi ki niti hai, Padhe likho ke liye yahi to Rajniti hai, Rajniti ke bhawar ne kiya desh ko barbaad hai, Praga...
-
Coding ki ye duniya hai nirali, Kabhi isne Developer ki wah wahi hai karai, To Kabhi jaan hi hai nikali, Project Requirements aur time...
-
Jab bhi tu apni najron ko meri najar se milati hai, Mujhe apni najron ke samundar me doobo le jati hai, Jab-Jab tu apni palkon ko Shar...
No comments:
Post a Comment