Tune Tab Dum Toda, Jab Dharti Pe Candels Ki Thi Chandni,
Tu Ye Mat Samajhna, Teri Maut Bekaar Gayi - Meri Damini!!!
Tu Khud Ko Sulakar Pure Desh Ko Jaga Gayi,
Bure Waqt Se Tu Gujri Lakin Dard Pure Desh Ko Kara Gayi,
Tu Jahan Bhi Hai - Dekh - Insaniyat Hai Jaag Uthi,
Desh Maafi Mang Raha Hai Tujhse - Kyoki Galat Hum Sab Hai Kahin Na Kahin,
Tere Jine Ki Abhilasha, Logon Ko Prerit Kar Gayi,
Jo Tere Sath Hua Wo Kisi Aur Ke Sath Na ho - Isiliye Majboot Kanoon Ki Mang Kar Gayi.
Tu Operation Theater Me Leti Thi, Par Surgery Desh Ke Sath Hui,
Sarir Tera Chira Gaya, Par Desh Washiyon Ki Aatmayen Chalni Hui,
Tu Kabhi Mat Samajhna Ki Tu Hai Haar Gayi,
Are Damini! Dekh To Jara Tu Buland Bharat Ki Aawaj Bani.
Tere Dukh Ko Pure Desh Ne Kiya Mahsus,
Jab Tu Hospital Me Pi Bhi Nahi Pa Rahi Thi Juice,
Tere Katilon Ko Saja Milegi - Ye Pure Desh Ka Pran Hai,
Aur Tu Sada Rahegi Hamare Dilon Me Jiwit - Ye Sabhi Bharat Wasion Ka Wachan Hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Happy Diwali 2019
दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...
-
Jiska ho raaj chalti usi ki niti hai, Padhe likho ke liye yahi to Rajniti hai, Rajniti ke bhawar ne kiya desh ko barbaad hai, Praga...
-
Coding ki ye duniya hai nirali, Kabhi isne Developer ki wah wahi hai karai, To Kabhi jaan hi hai nikali, Project Requirements aur time...
-
Jab bhi tu apni najron ko meri najar se milati hai, Mujhe apni najron ke samundar me doobo le jati hai, Jab-Jab tu apni palkon ko Shar...
No comments:
Post a Comment