Monday, 3 February 2014

Bas Itni Si Chahat

Kisi ke chehre ki muskurahat banu, bas itni  si chahat rakhta huin,
Kisi ko apne pyar me sajda karub, bas itni si chahat rakhta huin,
Kisi ke armanon ki aas banu, bas itni si chahat rakhta huin,
Kisi khas ke dil me basu, bas itni si chahat rakhta huin.

Un to ishq ne karaye hain bahunton ko dard ka aihsaas,
Ache-se-Ache aashiq ko banaya Ishq ne hai Devdaas,
Par mai kisi ko sacche ishq ka matlab huin batana chahta,
Kisi ki khushi ka ekmaatra maksad ban, garv mahsus huin karna chahta.

Kisi ko apne dil ki baat sunana chahta huin,
Kisi ke dil ki baat gambheerta se sunna chahta huin,
Kisi ke jiwan me sakaratmakta lana chahta huin,
Kisi ko apne jiwan me la, apni jiwan-shailli sudharna chahta huin.

Kisi ko khush rakhne ki khwaaish liye,
Khoj raha huin apni kismet ki Rani ko,
Apni Rani ka Raja ban,
Sara samarajya uske naam kar dena chahta huin.

Kisi ke dukhon ko har uski khushi ka karan banna chahta huin,
Kisi ke awgunon ko har, use sarv-gun sampan banana chahta huin,
Kisi ko apne pe haq jatane dena chahta huin,
To kisi ke dil pe mai khud apna haq jatana chahta huin.

Kisi ke nindon ko chura uske sunhare sapnon me aana chahta huin,
Kisi ke din me bite raton ki yadon ko taro-taja karna chahta huin,
Kisi ke sath raton ka na khatm hone ki dua karna chahta huin,

Kisi ko apna Jiwan samarpit kar, use Jiwan-Sangini banana chahta huin.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...