Thursday, 13 June 2013

Sacche Deshwasi Ki Aawaj

Aaj sabhi yahan desh ki khushali ki baat karte hain,
Desh ko viksit deshon ki shreni me pahunchane ka sapna dekhte hai,
Magar bhule baithe hai sab ki patton ke sadne ki wajah tahniya nahi hoti,
Hamesha patton ke sadne ki wajah ped ki jadon ka ku-poshan hota hai.

Agar amir yahan aur amir ho bhi gaya, To kya badal jayega,
Agar rank yahan raja ho bhi gaya, To kya badal jayega,
Mool jiwan jine ki aawasaqyata hai anaaj,
Agar wahi anaaj paida karne wala Kisaan bhooka rah jayega, To yahan sab bigad jayega.

Aaj jarurat hai desh ko nichle warg se majboot karne ki,
Amiron ki charbi ko kam, Aur garibon ke under maans bharne ki,
Kyoki dono surat me hi desh bimar sa lagta hai,
Charbi badhne se Blood-Pressure aur Diabetes,
To wahin maans na hone se insaan mal-nutrition ka sikar hota hai.

Bharat desh ka adhar anaaj paida karta kisaan hai,
Jiski mehnat se banta hamara desh mahaan hai,
Ashaksharta, Agyanta yaha ban rahi abhisaap hai,
Fir kaise kah sakte hai hum ki hamare desh ki growth rate badi fast hai.

Hume desh ki tarakki ke liye sabka pet bharna hoga,
Jo nahi padh pa rahe kinhi wajhon se, unhe gyan se jodna hoga,
Gaon-gaon Gali-gali me agar dekhni hai khushali,
To puri imandari se har bhartiye ko puri karni hogi apni-apni zimmedari.

Netaon ko jhute wade karna chodna hoga,
Paison ki kala-bazari ko band karna hoga,
Sasan-prasan se corruption ko jad se mitana hoga,
Insaanon ko apni-apni insaniyat ko jatana hoga.

Nari ko dena hoga samman,
Aathit-t-ya karna hoga hoga unka jo aaye hai hamare desh ban kar mehmaan,
Desh ki tarakki me bada yogdaan dega vigyan,
Naye prayog, nayi soch aur Nayi vichar dharayen, badhayengi desh ki shaan.

Ek aajad bharat ka sapna hume phir se dekhna hoga,
Corruption, Beimani, swarth ki bhawnaon se upar uthkar hum sab ko sochna hoga,
Desh ki khushali ke liye deshwasion ki khushali ka intezaam karna hoga,
Har sarkar ko apne Pradesh ki tarakki dikha udaharan sthapit karna hoga.

Desh ki unnati ka sapna tabhi sakar hoga,
Tab kisi ke liye bhi jawano aur neta me bhed karna mushkil hoga,
Desh ki betiyon ko apne desh me khule aam ghumne ki aajadi hogi,
Tab kahin jakar Bharat ki Viksit deshon me ginti hogi.

To aao sacche Bharat wasi hone ke khatir, Aaj hum ye le pran,
Puri karenge apni desh ke prati zimmedari lagakar pura man,
Hamare uthe naye kadmon se aao mil kar desh ko unchaiyon ki sair karayen,
Bharat warsh ki garima ko badhakar, aao hum apni  desh-bhakti ka parcham failayen.

No comments:

Post a Comment

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...