Friday, 1 November 2013

Happy Diwali 2013

Diwali Ki Shaan Diyon Ki Chamank Se Hoti Hai,
Diwali Ki Pahchaan Jiwan me Aai Khusiyon Se Hoti Hai,
Diwali To Acchai Ki Burai Pe Jeet Ka Jashn Hai,
Ye Sare Gile Sikwe Mita Ek Dusre Se Ghulne-Milne Ka Parv Hai.

Diyon Ki Chamak Aapke Jiwan Me Bhi Khusiyon Ko Prajwalit Kare,
Dushmano Ko Aapke Apse Mitrata Karne Ki SadhBuddhi Bakshe,
Jiwan Me Aapke Harsh Aur Ullas Ka Ho Aagman,
Khusiyan Itni Ho Apke Aangan Me Ki Tik Nahi Paye Ek Bhi Gum.

Mithayion Se Mithi Aapki Namra Charitrata Ho,
Patakhon Se Kadak Apki Vikhyati Ka Prachar Ho,
Desh Ki Bhalai Me Agrasar Apki nayi Soch Ho,
Aur In Sab Ke Beech Unnati Ki Rah Me Aapki Sari Koshishe Sakar Ho.

Ghar Me Lakshmi Ka Aagman Aapke Yash Ko Badhaye,
Purani Cheejo Ko Aapke Ghar Se OLX Wale le Kar Jaye,
Nayi Khusiyon Ke Sath Aap Naye Saal  Me Nayi Bulandiyon Pe Jaye,
Jiwan Ki Daud Me Aap Nayi Duriyon Ko Mapte Jaye.

Dua Hai Ye Diwali Aapke Aur Aapke Pariwar Ko Khushiyon Ke Lehar me Gote Lagwaye,
Apko Mitrata Ki Ek Nayi Parikashta Tak Pahuchayen,
Ye Dua Meri Dil Se Hai Nikli Isiliye Rab Ke Dwar Tak Jarur Pahuchegi,
Aap Ke Sare Armaano Ko Ye Diwali Jarur Puri Karegi!!!

Saturday, 7 September 2013

Dosti Sambhal ke Rakhna

Dosti apne jashn me har kisi ko sarik nahi karti,
Jo karte hai is rishte ki kadra sirf ye unhi ko hi hai nimantran bhejti,
Dosti ko samajhna har kisi ke bas ki baat nahi,
Dost har kisi ka ban jaye aisi bhi koi saugaat nahi.

Dost ke bina sab kuch hai adhoora,
Dosti bina kaha hai ye jiwan pura,
Dost aur dosti jine ke salike hai sikhati,
Kisi anjaan ko apka sabse khas hai banati.

Dost na ho to ye jina bhi duswaar hai,
Dosti agar na ho to akela jina bada khatarnaak hai,
Dost hi hai jo aap ko samajh dukhon ko hai door bhagata,
Apke liye apne dukhon ko bhula kar apke chehre pe hansi hai lata.

Dost banana ya ban-na hai bada hi aasan,
Par nibhana ho dosti to sahi mayano me nikal jati hai jaan,
Dost pyar aur swarth ke anubhavon se upar ki talim hai,
Jahan jism aur jaan thehar jaye, Dosti wahan se ubharti shaan hai.

Dost ke bina ye sansaar mano bhawna rahit sa hai,
Har Krishna ka dost wo natkhat Sudama  sa hai,
Anter aatma me chupa raaj sirf Dost hi hai jana karta,
Apke bhatakne pe wahi apko hai sahi rah dikata.

Zindagi mile to ek baar sacchi dosti jarur karna,
Kisi ek khas ko khud ko samajhne ki aagya dena,
Usko bhi samajh tum dosti ki ek misaal rakhna,
Swarth aur khudi se pare Dosti ki tum misal rakhna.

Wednesday, 21 August 2013

Meri Fariyad

Jab karti ho mujhse pyar,
To chupati ho kis liye,
Aur jab nahi dekh sakti mere aankhon me aansu,
To door jakar mujhe rulati ho kis liye.

Teri tanhai me tu pad jati hai akeli,
To mujhe tum door bhagati ho kis liye,
Sarak jaye duppatta tera to mai huin machal jata,
Fir duppatta pahan kar aati ho kis liye.

Tere bina titar-bitar ho jati hai meri zindagi,
To fir tum chod kar mjhko jati ho kis liye,
Ye tere rishtedaar bhi tujhe gaware nahi hue,
To fir unki khatir tum mujhe tanhai se milwati ho kis liye.

Tumhare labon se nikale sabd bhate hai mujhe,
To fir tum hothon ko sil chuppi sadhti ho kis liye,
Jab tum hamesha ke liye nahi aa sakti mere paas,
To mujhse khud ka intezaar karwati ho kis liye.

Jab tum apne hathon se nahi khila sakti mujhko,
To mere liye khana bana ke lati ho kis liye,
Aur jab tum nahi jata sakti apna pyar,
To karti ho mujhse pyar aisa jatati ho kis liye.

Uun to mai bhi rah sakta huin tere bina,
Par mujhe pyar ki kadar karna aata hai,
Aur nahi nibha sakti mere pyar ko,
To khud ko meri premika batati ho kis liye.

Gori Tere Pyar Me

Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!
Khoobsurati ko teri dekh kar,
Humne aanhe bhari thi,
Tujhko paane ki aas me,
Humne aashiqi ki rah chuni thi,
Par tere bhaiyon ke hathon pit kar,
Hum doob gaye pyar ke majdhaar me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Tera hanth magne gaya to,
Baap ne tere bahut sunaya,
Maa ne teri bahut kosa humko,
Chai tak nahi pilaya,
Bhai ne teri degree jhanchi,
Aur bahut kosa mere designation ki aad me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Bua, Chachi aur tai ne teri mujhko pura jhancha,
Sach kahun lagbhag mera pura body scan kar dala,
Yahan-wahan chu-chu kar unhone mera majak udaya,
Aur tokne par taal gaye sab apne jawai ki janch ki aad me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Bahan ne teri humko apna momentary Boy Friend mana,
Ishq kaise karte hain – pura rehearsal mere sang kar dala,
Sayari, gazlen aur latife ki peshkas humse kar dali,
Bas ek ache jija – ji pane ki aad me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Saheliyan teri mere sang kheli Chedkaniyon ke khel majak me,
Teri saheli ke sath se jada shanti to milti hai mashoor jail Thihar me,
Unki khoobsurati ko sarahun, Yahi kaam raha pure sham me,
Kambhakhton ne pani tak nahi pucha,
Romantic Jija – ji ki aad me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Par haar nahi mani maine,
Sabko khud se impress karwaya,
Bapu, Amma, Chacha, Chachi Aur teri bahna ko bhi pataya,
Saheliyon se lekar pure khandaan ko pyar pe vishwas jagaya,
Ye sab khushi ke laye pal maine apni kawita ki aad me,
Gori tere pyar me,
Hum to pit gaye sare bazaar me!

Sunday, 18 August 2013

Pyar Se Bhali Tanhai

Pyar do dilon ko karib hai lata,
Ek dusre ke prati vishwas ko hai badhata,
Uun to har dil ko hai aajadi pyar karne ki,
Kisi ke pyar pane ki, To kisi ke liye pyar nibhane ki.

Par itna aasan bhi ye pyar ka masla nahi doston,
Is bandhan me aankh band kar kahin fasna nahi doston,
Har sannate ke piche kisi tufaan ka aagaj hota hai,
Dil tutne par rona sirf akele hi padta hai.

Kisi ki mithi boli ki aadat na dalna,
Kisi ke sath sa sahara na mangna,
Pyar me kisi ka sab kuch accha lagna ek bimari hai,
Aur itna serious bimar padne ki lat mat dalna.

Mil jaye sath apne aashiq ka to duniya badal jati hai,
Par wahi sath mil ke bichad jaye to basi-basai duniya ujad jati hai,
Pyar me kisi ki parwah, pyar ko majboot banati hai,
Par kahin khatm ho gay ye parwah, to akelapan insaan ko tod jati hai.

Ye guroor jamana to sada hi raha pyar ke khilaaf hai,
Sayad isne bhi pyar ke dard ko saha hoga,
Mana aashiqi me milan ki bela swarg ki parichayak hai,
Par meet door ho jaye, to majboot insaan bhi dukh se roya hoga.

Ek baar pyar kar zindagi bhar tanhai se ladun to ladun kaise,
Jab khud maine hi sahe hai pyar me hone wale dard,
To dusron ko pyar karne ki salah dun to dun kaise,
Aaj apne anubhavon se ye dil-e-bayan karta huin,

Pyar se bhali hai tanhai, Sabko yahi hidayat deta huin.

Tere Dil Me Mujhe Pyar Najar Aata Hai

Jab bhi tu apni najron ko meri najar se milati hai,
Mujhe apni najron ke samundar me doobo le jati hai,
Jab-Jab tu apni palkon ko Sharma ke jhukati hai,
Tab-tab mujhe tere dil me pyar najar aata hai.

Jab bhi tu muskurakar mujhe chidati hai,
Apni harkaton se koi bachkani sthithi paida kar jati hai,
Jab-jab tu mujpe anekon sawalon ki warsha karti hai,
Tab-tab mujhe tere dil me pyar najar aata hai.

Jab bhi tu kuch galti karne se pahle mujhpe gussa ho jati hai,
Barish ke pani me kud-kud kar mere juton ko gila kar jati hai,
Jab-jab apni fulladpantiyon se mujhe stati hai,
Tab-tab mujhe tere me pyar najar aata hai.

Jab bhi bina kahe mera khyal tu rakh jati hai,
Ghanto-ghanto tak mere intezaar me akele samay bitati hai,
Jab-jab andheri raton me mere sath tu hoti hai,
Tab-tab mujhe tere dil me pyar najar aata hai.

Jab bhi tu rang birange jhumke pahan aati hai,
Naye-naye suit pe nayi-nayi chapallen pahan mujhe dikhati hai,
Jab-jab tu thand se bachne ke liye, mujhe simat jati hai,
Tab-tab mujhe tere dil me pyar najar aata hai.

Jab bhi tu aankhon me aansu chupa muskati hai,
Apne dard ko pi badi mature image dikhati hai,
Jab-jab tu meri tension ko release karne mere karib aati hai,

Happy Diwali 2019

दिपक की जगमगाहट आपके पुरे आँगन को उज्जियाये, रोशन करे ज़िंदगानी और खुशनुमा सा बनाये, क्योँकि ये पर्व कोई मामूली पर्व नहीं, है पर्व पुरुषार...